Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

8 Jan 2019

Deen Ki Baate Batane Ke Liye Certificate Ki Zarurat Nahi Hoti

hi  -
Sawal- Asslaam alaikum warahmatullah Shaykh. Kya Deen batane ya sikhane ke liye kisi madarse ya university ke certificate ka hona zaruri hai? Bara e maherbani jawab irshad farma dijiye. Allah apke ilm me izafa kare.

Alhamdulillah..

Quran e hakeem me hame kahi bhi ye nahi milta ki Deen ki baate batane ya sikhane ke liye apko kisi madarse ya university ki certificate ka hona zaruri hai. Balki Allah farmate hai,

۩ Aur usse behtar kiski baat hai jo logo ko Allah ke taraf bulata hai, nek kaam karta hai aur kahta hai ki mai Musalmano maise hu.

Surah Fussilat ﴾41﴿, ayat- 33.

۩ Tum behtareen Ummat ho jo logon ke liye paida kiye gaye ho. Tum nek baaton ka hukm dete ho aur buri baaton se rokte ho aur Allah Taalaa par eemaan rakhte ho.

Surah Aal e Imran ﴾3﴿, ayat- 110.

In ayato me Allah ne puri ummat ko  ek aam ijazat di hai ki wo logo ko Deen ke taraf dawat dein. Ab aiye dekhte hai ki hamare Rasool ﷺ ne hame is baare me kya baate batayi hai.

۩ حَدَّثَنَا أَبُو عَاصِمٍ الضَّحَّاكُ بْنُ مَخْلَدٍ، أَخْبَرَنَا الأَوْزَاعِيُّ، حَدَّثَنَا حَسَّانُ بْنُ عَطِيَّةَ، عَنْ أَبِي كَبْشَةَ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عَمْرٍو، أَنَّ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏"بَلِّغُوا عَنِّي وَلَوْ آيَةً، وَحَدِّثُوا عَنْ بَنِي إِسْرَائِيلَ وَلاَ حَرَجَ، وَمَنْ كَذَبَ عَلَىَّ مُتَعَمِّدًا فَلْيَتَبَوَّأْ مَقْعَدَهُ مِنَ النَّارِ"-

۩ Abd-Allaah ibn Amr r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, "Pohcha do meri taraf se wo kyu na ek ayat hi ho, aur Bani Israail ke waaqyaat tum bayan kar sakte ho, isme koi harj nahi aur jis ne mujh par jaanbuj kar jhut bandha to use apne jahannam ke thikane ke liye tayar rahna chahiye."

Sahih al Bukhaari, Kitab ahadees anNabi ﴾60﴿, hadith-3461.

Ye hamare Rasool ﷺ ka ek saada (simple) sa hukm hai ki agar hame ek ayat bhi aati hai to ham use dusro tak pohchaye. Rasool ne yaha par na to kisi degree ka zikr kiya aur na hi kisi madarse ya university ka. Ab aiye dekhte hai ki hamare ahle ilm is mauzu par hame kya naseehate karte hai.

۩ Imam Ibn Hajar Asqalani, Fath al Baari me likhte hai:

“Is hadees me '(Pohcha do meri taraf se) chahe wo ek ayat hi kyun na ho' se murad ye hai ke har shaks jisne jo bhi baat unse (Rasool se) suni ho, chahe kitni hi thodi ho, wo logo tak pohchane ki jaldi koshish kare, is tarah se har cheez jo RasoolAllah ﷺ lekar aaye the, wo logo tak pahunch jayegi.” End quote.

Fath ul Bari by Imam ibn Hajar, Kitab ahadees anNabi ﴾60﴿, hadith-3461.

۩ Shaykh ibn Uthaymeen r.h. kahte hai:

“Jab ek shaks us chiz ki samajh rakhta hai jis ke taraf wo logo ko bula raha hai to isse koi fark nahi padta ke wo bada ya mashhoor aalim ho ya Deen ka sachha taalib e ilm ho ya ek aam sa aadmi ho jise kuch ilm ho us masle me jo sawal pucha ja raha hai.
RasoolAllah ﷺ ne farmaya hai, "Pohcha do meri taraf se wo kyu na ek ayat hi ho", aur unhone ne ye shart nahi rakhi ke us daaiyah (logo ko deen ki taraf bulane wale) ko Ilm ke aala darjeh par faiz hona chahiye, bas zaroori hai ke use us baat ka ilm ho jiski taraf wo bula raha hai. Lekin apne la-ilmi aur apne jazbaat ke bina par logo ko (deen ki taraf) bulane ki ijazat nahi hai.” End quote.

Fataawa ‘Ulama’ al-Balad al-Haraam, p. 329. 

۩ Shaykh Saleh al Munajjid farmate hai:

“Allah ke taraf logo ko bulana sabse behtareen aur azeem amal hai Allah subhanahu wa tala ke yaha. Jab ye fareeza Nabiyo aur Rasoolo ka hai jinhe Allah ne makhlook maise chuna toh ye farza unke (Nabiyo aur Rasoolo ke) wariso ka kaise nahi ho sakta hai jo ki Ulema aur Daaiya hai.

Ye zaruri hai ki jo shaks logo ko Islam ki taraf bula raha ho uske paas us chiz ki kuch samajh zarur ho jiski taraf wo logo ko bula raha hai, lekin iski zarurat nahi hai ki use poore Deen ka ilm hona chahiye kyuki Abd-Allaah ibn Amr se Bukhaari (3461) me riwayat hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, "Pohcha do meri taraf se wo kyu na ek ayat hi ho".


۩ Shaykh Saleh al Fawzan se sawal kiya gaya, “Moazzaz Shaykh, Allah apko qamyabi ata kare. Kya wo shaks logo ko Deen muamlat ki taaleem dena chahta hai, kya ye kafi hai ki uske pas kisi university ka certificate ho ya fir uske paas kisi ulema ki tazkiyaat (shabashi, taareef) ke hone ki zarurat hai?”

Shaykh farmate hai,

“Ilm ka hona zaruri hai. Har shaks jiske paas certificate hai wo alim nahi ban jata hai (certificate hone ke wajah se), (lekin) Ilm aur Allah ke Deen ki samajh (fiqh) zaruri hai. Ek Certificate ilm ki nishandehi nahi karti. Ek shaks ke paas (certificate) hone ke ke bawujud wo logo me sabse zyada jahil ho sakta hai, aur ek shaks ke paas certicate na hokar bhi wo logo me sabse zyada ilm rakhne wala shaks ho sakta hai. Kya Shaykh ibn Baaz ke paas certificate tha? Kya Shaykh Ibn Humayd (ke paas koi certificate tha)? Kya inlogo ke paas certificate tha? Fir bhi wo is waqt ke maroof (leading) Imam the. Lihaza ye taqreer ek shaks ke andar ilm aur samajh ki maujudgi ke ird-gird ghumti hai, uske certificate aur tazkiyaat par nahi, (certificate aur tazkiyaat) par gaur nahi kiya jata hai. Aur haqiqat ek shaks ko be-naqab kar deta hai jab sath me koi masla aata hai, ya koi musibat ati hai, fir (sachha) alim aur naqli aur jahil alim se wazeh ho jata hai. Ji Ha!”

source: https://goo.gl/zd2F71

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame sirat e mustakeem ata kare. aameen.

Post a Comment