Alhamdulillah..
Aqeedah un baato ko kaha jata hai jin ki nafs tasdeeq karti hai aur is par dilo ko itminan hota hai aur ahle aqeedah ke yaha ye yakeeni hote hai jis me kisi kism ka shak wa shubah nahi hota.
Aur lughat me Aqeedah maadah(root word) 'aqada' se nikle hai jis ka matlab lazim aur taaqeed, pukhtagi hai.
۩ Allah taala ne Quran me irshad farmaya hai,
Allah taala tumhe un kasmo par nahi pakdega jo pukhta na ho, magar pakki kasam khane par toh zarur tumhari pakad karega (bimaa ‘aqqadtum al-aymaan)…"
Surah Maidah ﴾5﴿, ayat-89.
Aur kasam ki pukhtagi dil ke iradeh aur us ke azm ke sath hoti hai, arabi me kaha jata hai ke 'aqada’l-habl' yani rassi ke ek hisse ko dusre hisse se kas diya (gaanth laga diya).
Aur 'i’tiqaad' alfaz yeh 'Aqd' se nikla hai jis ka matlab bandhna aur mazbut karna hai. Kahte hai ke 'a’taqadtu qaza', yaani iska maine dil me azm kiya, jo ki pukhta zahen ka hukum hai.
Aur shara'i istilaah mein aqeedah yeh hai ke:
Aisi chize jiska Musalman par apne dil mein aqeedah rakhna aur in par bagair kisi shak wa shubah ke pukhta eemaan rakhna wajib ho.
Kyunke Allah taala ne use un baato ki apni kitab (Quran) ke zarye ya apne Nabi ﷺ par wahee kar ke batayi hai.
Aur aqeedah ke usool wo hai jis par Allah taala ne hame eeman rakhne ka hukum diya hai woh is farmaan me bayan ki gai hai:
۩ Rasool ﷺ Eemaan Laaye Us Cheez Par Jo Un Ki Taraf Allah Ta’ala Ki Jaanib Se Utri Aur Momin Bhi Eemaan Laaye, Ye Sab, Allah Ta’ala Aur Us Ke Farishto Par Aur Us Ki Kitaabo Par Aur Us Ke Rasoolo Par Eemaan Laaye, Us Ke Rasoolo Mein Se Kisi Mein Hum Farq Nahi Karte, Aur Wo Kahte Hai Ke Hum Ne Suna Aur Ita’ath Ki, Hum Teri Baqshish Talab Karte Hai, Aye Hamaare Rab! Aur Hamein Teri Hee Taraf Lautna Hai.
Surah Baqarah ﴾2﴿, ayat-285.
Aur RasoolAllah ﷺ ne Hadees e Jibrael me ye farmaya hai,
۩ Jibrael a.s. ne pucha, Eeman kya hai?
RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Eeman Ye Hai Ke Tum Allah Par, Aur Uske Farishto Par Aur Roz e Hashar Allah Ke Huzur Pesh Hone Par Aur Allah ke Rasoolo Par Eeman Lao Aur Qayamat Ka Yaqeen Karo.”
Sahih al-Bukhari, kitab al eemaan ﴾2﴿, hadees- 50. [hadees ka hissa]
Toh Islam me aqeedah ye hua ke woh masail jin ke mutaliq Allah taala aur us ke Rasool ﷺ ki taraf se sahih khabar di gayi hai aur jin ka Musalman par Allah aur us ke Rasool ﷺ ki tasdeeq karte hue eeman rakhna wajib hai.
Wa Allahu aalam.
•٠•●●•٠•
source: Islamqa
Note: This article has been edited without changing the meaning from primary source for better understanding of the readers.
Post a Comment