hi - |
Sawal: Jab RasoolAllah ﷺ hamari shafat karenge qayamat ke din toh fir hame amal karne ki zarurat kyu hai?
Jawab:
Alhamdulillah..
RasoolAllah ﷺ ki shafa'at haq hai.
۩ Abu Hurairah r.a. kahte hai ke Rasool ﷺ ne farmaya, 'Har Nabi ke liye ek dua aisi hai jo zarur qubul hoti hai, tamam ambiya ne woh dua dunia me hi maang li, lekin maine apni dua qayamat ke din apni ummat ki shafa’at ke liye mahfooz kar rakhi hai, meri shafa’at in shaa Allah har us shakhs ke liye hogi jo is haal me mara ke usne kisi ko Allah ke sath shareek nahin kiya.
Sahih Muslim, kitab al eemaan ﴾1﴿, hadith- 491.
Shafa'at haq hai lekin shafa'at Allah ke ijazat se hogi bina uske ijazat ke nahi. Allah ﷻ farmate hai:
۩ Bila shuba tumhara Rab Allah hi hai jis ne asmano aur zamin ko cheh (6) roz me paida kar diya fir arsh par qayim hua, wo har kaam ki tadbeer karta hai, us ki ijazat ke bagair koi us ke pas sifarish karne wala nahi, aisa Allah tumhara Rab hai, so tum us ki ibadat karo, kya tum fir bhi nasihat nahi pakadte.
Surah Yunus ﴾10﴿, ayat-3.
Aur Rasool ﷺ ne is usool ko aur waazeh karke irshad farmaya hai:
Surah Yunus ﴾10﴿, ayat-3.
Aur Rasool ﷺ ne is usool ko aur waazeh karke irshad farmaya hai:
۩ Abu Hurairah r.a. ne kaha jab (surah al shura ki) yeh aayat Allah taala ne utari “Aur apne nazdeek naate walon ko Allah ke aazaab se darao” toh RasoolAllah ﷺ ne farmaya, 'Aye Quraish ke logo! ya aisa hi koi aur kalima tum log apni apni jaano ko (nek aamaal ke badal) mol le lo (bacha lo), Mai Allah ke samne tumhare kuch kaam nahi aunga (yani us Allah ki marzi ke khilaaf mai kuch nahi kar sakunga) Abd Manaf ke beton! Mai Allah ke samne tumhare kuch kaam nahi aunga. Abbas Abdul Muttalib ke bete! Mai Allah ke samne tumhare kuch kaam nahi aunga. Safia meri Fufi! Allah ke samne tumhare kuch kaam nahi aunga. Aye Fatima, meri beti tu chahe mera koi bhi maal maang le lekin Allah ke samne tere kuch kaam nahi aa sakunga.
Sahih al-Bukhari, kitab al wasaya ﴾55﴿, hadith - 2753.
Toh shafaat Allah ke ijazat se hogi bina uski ijazat ke nahi. Aur agar Allah ne pakad liya to fir koi nai chora sakta uski pakad se kyuki Allah ki pakad bohut sakht hai.
Seerat e Nabawi se hame iski bohut si misaale milti hai, ek misaal ye hai:
۩ Hazrat Abu Hurairah r.a. ne bayaan kiya ke hum Nabi ﷺ ke saath khaibar ki ladayi ke liye nikle. Is ladayi mein hame sona, chaandi ganimat mein nahi mila tha balke dusre amwaal, kapde aur samaan mile tha. Fir Bani ad-Dubaib ke ek shakhs Rifa'a bin Zaid naami ne RasoolAllah ﷺ ko ek gulaam hadiya (tohfa) me diya, ghulam ka naam Mid'am tha.
Fir RasoolAllah ﷺ waadi-e-Qura ki taraf mutawajja hue aur jab Aap ﷺ waadi-e-Qura mein pahoch gaye to Mid'am ko jab ke wo Aap ﷺ ka kijaawa durust kar raha tha, ek anjaan teer aa kar laga aur unki maut ho gayi.
Logon ne kaha ke Jannat use mubarak ho, lekin Rasool ﷺ ne farmaya ke hargiz Nahi!, Us zaat ki qasam jiske haath mein meri jaan hai, wo kambal jo isne taqseem se pahle khaibar ke maal-e-ganimat mai se chura liya tha, wo is par aag ka angaara ban kar jal raha hai.
Jab logon ne yeh baat suni toh ek shakhs chappal ka tasma ya do (2) tasme le kar Aap ﷺ ki khidmat mein haazir hua, (matlab jo bina ijazat liya tha wo wapis le aya). Aap ﷺ ne farmaya ke yeh aag ka tasma hai ya do (2) tasme aag ke hain.
Sahih al-Bukhari, book of Oaths and Vows ﴾83﴿, hadith- 6707.
Is hadith se aur wazahat hui ki jab Allah ne Rasool ﷺ ki khidmat karne wale sahabi ko nahi baksha toh fir hamari aur apki kya haisiyat hai, agar Allah pakadne par aagaya toh? Allah se dare kyuki Allah ki pakad boht sakht hai.
Hamare muashre me toh ye mashhoor hai ki 'Khuda ka pakda churaye Muhammad, Muhammad ka pakda chura na sake koi.' Hame in ashhaar se Allah ki panaah talab karni chahiye aur sochna chahiye ki kya waqai ham usi roshni par chal rahe hai jo roshni Allah ne hame apni kitab me di hai, RasoolAllah ﷺ ne hadees me di hai..?
•٠•●●•٠•
Allah se dua hai ki wo hame sirat e mustaqeem ata kare. aameen.
Post a Comment