Shaykh Albani farmate hai,
“Ruku ke baad qiyaam me itminaan ka wajib hona to sabit hai lekin ahle hijaz se baaz qabil e ahtaram ahle ilm is hadees (المسیے ء صلاتہ) se istidelaal karte hue is qiyaam me hath bandhne ko sabit karna nihayat mushkil aur ba'eed az imkaan (gair-mumkin) hai balki is ka isbaat (daleel) batil hai isliye ke kisi hadees me is ka zikr nahi hai, ke is qiyaam me hath bandhe jaaye, daaye hath ko bayein hath ke saath pakadne ki tafseer ruku ke baad kaise durust hai ye bhi tab hi agar us par is muqaam me hadees ke alfaaz ka majmua muwafqat kare, pas kaise dalaalat (sabit) kar sakta hai jab ke is ki toh zaahiri dalaalat us ke mukhtalif hai. Mazeed zikr karda hatho ke rakhne ka hadees se bazaahir maloom nahi ho raha hai jab ki haddiyo se maqsood kamar ki haddiya hai jaisa ke is ka zikr pahle guzar chuka hai jab ki is ki taaeed Aap ﷺ ke amal se bhi hoti hai jis ka zikr pahle guzar chuka hai ke Aap seedhe barabar khade ho jate the yahan tak ke har mahrah (hissa) apne muqaam par wapas aa jata tha. Pas Aap is par munsifana andaaz ke saath gaur o fikr kare.
Chunanche mujhe qat'an shak nahi hai ke is qiyaam me hath bandhna aisi biddat hai jo gumraahi se hamkinaar hai, agar is ka kuch subut hota to kahi (toh) zikr hota, mazeed is se bhi taeed ho rahi hai ke salaf saliheen me se kisi se bhi ye sabit nahi hai aur na is ka zikr aimma e hadees me se kisi ne kiya hai. wa Allahu alam.
Albatta Shaykh Tuwaijri ne apne risaala ke safa 18,19 me Imaam Ahmad (bin hambal r.h.) se naqal kiya hai, wo kahte hai ke ruku ke baad qiyaam me hatho ko bandhna aur chor dena dono durust hain lekin ye unka apna ijtihaad aur qawl hai, marfu hadees nahi hai aur ijtihaad kabhi galat bhi ho jata hai lihaza jab kisi kaam ke biddat hone par sahih hadees maujud ho jaisa ke is masa'le me maujud hai toh kisi imaam ka qaul is ko biddat hone se baaz nahi rakh sakta jaisa ke ye qaeda (usool) Shaykh ul Islam Ibn e Taymiyyah (r.h.) ki baaz kitabo me mazkur hai balke mujhe toh Imaam Ahmad (rh) ke is kalam se (yeh) maloom hota hai ke in ke nazdeek is qiyaam me hath bandhna sunnat ke saath sabit nahi jab ki unhone hath bandhne aur chorhne ka ikhtiyaar diya hai, pas kya Imaam Ahmad r.h. ruku se pahle qiyaam me is tarah ka ikhtiyaar de sakte hai, malum hua ke ruku ke baad qiyaam me hath bandhna masnoon nahi hai agarche is mas'ale ko tafseel se bayaan karne ki zarurat thi lekin gunjaish na hone ki wajah se ikhtisaar ke saath is ka zikr kar diya gaya hai.” end quote.
source: Namaz e Nabawi (Muhammad Nasiruddin al-Albani) [Urdu version], page-129-130. [scan]
source: Namaz e Nabawi (Muhammad Nasiruddin al-Albani) [Urdu version], page-129-130. [scan]
•٠•●●•٠•
Post a Comment