اقرأ باسم ربك الذي خلق

24 Apr 2019

Apni Biwi Ko Pyare Naam Se Bulana Bhi Sunnat Hai


۞ Ayesha r.a. ne bayan kiya ke RasoolAllah ﷺ ne ek din farmaya,

'يَا عَائِشَ، هَذَا جِبْرِيلُ يُقْرِئُكِ السَّلاَمَ' ‏‏-‏ فَقُلْتُ وَعَلَيْهِ السَّلاَمُ وَرَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ، تَرَى مَا لاَ أَرَى-

Aye 'Ayesh' (Ayesha) yeh Jibrail a.s. tashreef farma hai aur tumhe salaam kahte hai, maine is par jawab diya 'wa alayhis salaamu warahmatullahi wabarakatuhu', Aap woh cheez dekhte hai jo mujh ko nazar nahi aati (yaani Jibrail a.s. ko).

Raawi kahte hai ki Ap r.a. ki murad Nabi ﷺ se thi.

Sahih al Bukhari, kitab fazail ashaab an nabi ﴾62﴿, hadees- 3768.

Is hadees me Rasool ﷺ ne apni biwi Ayesha r.a. ko 'Aye Ayesh' kah kar pukara, aakhri harf hata kar, isko tarkheem (apocopation) kahte hai, iska matlab ye hai ki kisi naam ke aakhri aawaz ko hata diya jaaye taaki wo naam chota ho jaye aur us naam me shafkat ya muhabbat nazar aaye.

۩ Ibn Battaal r.h. kahte hai,

“Jaha tak 'Aye Ayesh' kahne ka talluq hai, toh ye tarkheem (apocopation) ke baab (heading) ke tahat aati hai, jo Arab naam ko chota kar ke karte the.” [alfaz khatam].

Ibn Battaal ki Sharh Sahih al-Bukhari, (9/350).

۩ Imam Nawawi r.h. kahte hai,

“Unka kahna ki unhone kaha, 'Aye Ayesh aapke sath kya muamla hai', ye is chiz ki nishandehi karti hai ki naamo ke aakhri awaz ko hata dene ki ijazat hai, jab tak ke use bura na lage jiska naam chota kiya ja raha hai.” [alfaz khatam].

Imam Nawawi ki Sharh Muslim, (7/43).

Insan ki ye fitrat hai ki ye choti choti khushiya usko pasand aati hai aur muhabbat ka zarya banti hai aur in choti khushiyo par chaar chand lag jate hai jab ye amal sunnat bhi ho. Allah hame amal ki taufeek ata kare. aameen.

•٠•●●•٠•