Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

12 Apr 2019

Jannat Itni Sasti Nahi Hai


Allah farmate hai,

Ya fir kya tum yeh gumaan kiye baithe ho ke Jannat me yunhi chale jaoge halanke ab tak tum par wo haalaat nahi aaye jo tum se pichle logo par aaye the.

Unpar sakhtiya guzri, museebate aayi, hila maare gaye, hatta ke waqt ka Rasool aur uske saathi ahle eeman cheekh utthey ke Allah ki madad kab aayegi, us waqt unhe tasalli di gayi ke haa Allah ki madad qareeb hai.

Surah Baqarah ﴾2﴿, ayat-214.

Hamare muashre me ek galat fehmi hai ki kyuki ham RasoolAllah ﷺ ke ummati hai, toh hame har haal me baksh diya jayega. Aesa nahi hai jaise hamne gumaan kar liya hai. Aaiye is mauzu ko Islam ke teesre khalifa ki seerat ki roshni me jante hai, Usman e gani r.a. ki seerat ki roshni me.

۩ Hani' (Usman r.a. ke aazaad karda gulam) kahte hai,
“Usman r.a. jab kisi kabristan par thaherte toh itna rote ke Ap ki daadhi bheeg jati, un se kisi ne kaha ke jab Ap ke saamne Jannat o Jahannum ka zikr kiya jata hai toh nahi rote hai aur kabr ko dekh kar is qadar ro rahe hai?
Toh (Usman r.a. ne) kaha ke RasoolAllah ﷺ ne irshad farmaya hai, 'Aakhirat ki manzil me se kabr pahli manzil hai, so agar kisi ne kabr ke aazaab se nijaat paayi toh us ke baad ke marahil aasan honge aur agar jise azaab e qabr se nijaat nah mil saki toh is ke baad ke manazil (muqaam) sakht tar honge'.”

Usmaan r.a. ne mazeed kaha ke RasoolAllah ﷺ ne irshad farmaya, “Ghabrahat aur sakhti ke aitebaar se kabr ki tarha kisi aur manzar ko nahi dekha'.”

Jamia Tirmizi, kitab al Zuhd ﴾36﴿, hadees- 2308. Imam Tirmizi ise Hasan gareeb karaar dete hai.

Toh ye aalam hai Usman r.a. ke Takwe ka jab ki yahi wo sahabi hai jinhe teen baar RasoolAllah ﷺ se Jannat ki basharat mili hai (Bukhari, 2778; Sunan Nasai, 3638, hasan).

SubhanAllah! teen baar Jannat ki basharat milne ke bawujud bhi ek shaks kabr ke aazaab se itna dar raha hai. Aur ham logo ko toh ek baar bhi Jannat ki basharat nahi mili hai, fir bhi hamlogo ne kitni baar Allah ke khauf se apni dadhi tar ki hai ya apne aankh me aasu bhare hai.

Balki hamare muashre me isse ulti surat zarur paayi jati hai ki ham khud ko Jannati firqe me shumar karne lage hai, yaani hamara gumaan ye hai ki ham us groh me se hai jo Jannat me jayegi. Allahu akbar kitna bada daawa hai ye, ek taraf sahabi e Rasool hai jinko teen baar jannat ki bashrat mili hai aur fir bhi wo Allah ke khauf se ro rahe hai aur ek ajkal ke log hai jo bina basharat ke hi apne apko Jannati karaar dete hai. Ye iske alawa kuch nahi ki shaitan ne aese logo ko dhoke me daal rakha hai. Allama Iqbal kahte hai,
“Yeh Shahadat Gahe Ulfat Me Qadam Rakhna Hai..  
Log Aasaan Samjhte Hai Musalman Hona!”
Ham dua karte hai ki Allah hamare gunaho ko darguzar kare aur hame apni rahmat ke saaye me jagah ata kare.

•٠•●●•٠•

Post a Comment