اقرأ باسم ربك الذي خلق

10 Apr 2019

Tahajjud Padhne Ke Liye Sona Zaruri (shart) Nahi

hi   

Sawaal: Kya Tahajjud padhne ke liye sona zaruri hai, yaani kya sona shart hai?

Alhamdulillah..

Hamare muashre me ye galat-fahmi hai ki tahajjud ki namaz padhne ke liye sona zaruri hai. Kitab ya Sunnat me aesi koi baat hame nahi milti hai. Albatta tahajjud ki namaz ko raat ke aakhri hisse me padhna afzal zarur hai kyuki us waqt farishte is namaz ka mushahidah karte hai. Lekin jisko dar hai ki wo raat ke aakhri hisse me na uth sakega toh use sone se pahle hi ye namaz padh lena chahiye.

۩ Jabir r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Jise dar ho ke wo raat ke aakhiri hisse me nahi uth sakega, wo raat ke shuru me witr padh le. 
Aur jise ummeed ho ki wo raat ke aakhir me uth jayega, wo raat ke aakhri me witr padhe kyuke raat ke aakhri hisse ki namaz ka mushahidah kiya jata hai (is witnessed) aur yeh afzal hai.”

Sahih Muslim, kitab salat ul musafireen ﴾6﴿, hadees- 1766.

Note: Witr aur Tahajjud ek hi namaz ke do naam hai, (daleel ke liye ye article padhe). Toh is article me agar witr ka zikr hoga toh isse muraad tahajjud namaz ko bhi liya jayega.

۞ Aaiye dekhte hai ki is hadees par sahaba e karaam ne kis tarha amal kar ke dikhaya:

۩ Jabir bin Abdullah r.a. ne kaha, “RasoolaAllah ﷺ ne Abu Bakr r.a. se pucha, 'Tum witr kab padhte ho?' Unhone kaha, 'Shuru raat me, isha ke baad'.
Aap ﷺ pucha, 'Tum aye Umar'!
Unhone kaha, 'Raat ke aakhri hisse me',
Tab Nabi ﷺ ne farmaya, 'Aye Abu Bakr! tum ne mazbut kada (handhold) pakda hai (yaani ahtiyaat ka raasta apnaya hai). Aur aye Umar! tumne taaqat zabt karli hai (yaani tumne us kaam ko pakda hai jisme taaqat ki zarurat hai).'”

Sunan ibn Majah, kitab iqamatis salaat wa sunnati feeha ﴾5﴿, hadees- 1202.

۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai, “Mujhe mere azeez dost (Nabi kareem ﷺ) ne teen cheezo ki wasiyat ki hai aur mai in chizo ko maut se pahle nahi chorunga, har maheene me teen din roze, chasht ki namaz aur witr padh kar sona.”

Sahih al Bukhari, kitab al Tahajjud ﴾19﴿, hadees- 1178. Hasan (Darussalaam).

۩ Imam Nawawi farmate hai,

“Aur yahi sahih hai, aur baaqi mutlaq ahadees ko is sahih aur sareeh afzaliyat par mahmool (is hadees par amal) kiya jayega, un me ye hadees bhi hai, 'mere azeez dost ne mujhe wasiyat ki ke mai witr ada kar ke soya karu'. Yeh hadees us shakhs ke haq me hai  jise (sone ke baad) jaagne ka yakeen nahi hai.” [khatm].

Sharah Sahih Muslim, 3/277.

Hamare sahaba e karaam ne bhi koi ek raasta nahi chuna, jo rasta jinhe behtar laga unhone wo apnaya. Ye khud ek daleel hai ki deen me sakhti nahi hai, balki deen aasaan hai.

•٠•●●•٠•

Allah hame tahajjud padhne ki taufeek ata kre. aameen.

Hame Whats App par join karein: +9779868212118