Alhamdulillah..
Sahih ahadees ki roshni me ham sab ka ye Aqidah hona chahiye ki Nabi apne qabro me akhirat ke zindagi ke sath zinda hai aur unke jism salamat hai. Iski daleel kuch is tarha se hai:
۩ Aws ibn Aws r.a. bayan karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,
“Jume ka din tumhare behtareen dino me se hai, lehaza is din mere upar kasrat se durood bheja karo, is liye ke tumhare durood mujh par pesh kiye jate hai.
Logo ne arz kiya, 'Allah ke Rasool! Aap qabar me bosidah (decayed) ho chuke honge toh hamare durood Aap par kaise pesh kiye jayenge?' Aap ﷺ ne farmaya, 'Allah ne haraam kar diya hai zameen ke liye ke wo Ambiya ke jism ko khaye.”
Sunan Abu Dawud, kitab al witr ﴾8﴿, hadees- 1531. Ise Imam Hakim, Imam Zahabi aur Imam Nawawi ne saheeh karaar diya hai.
۩ Anas bin Malik r.a. se riwayat hai,
“Jab Sahaba karam ne Tustar (shahar) ko Fatah kiya toh waha Taboot me ek shaks ka jism dekha, uski naak hamare ek hath ke barabar thi. Waha ke log is taboot ke wasile se galbah wa barish talab kiya karte the. Sayyidna Abu Musa r.a. ne Ameerul Momineen Umar bin khattab r.a. ki taraf khat likha aur saara waqya sunaya, Umar r.a. ne jawab me likha ki ye Allah ta'ala ke abiyo mai se ek nabi hai, na Aag Nabi ko khati hai, na zameen, fir faramaya, Tum aur tumhare sathi koi aisi jagah dekho jiska tum dono ke alawa kisi ko ilm na ho, waha is taboot ko dafan kardo. Anas bin Malik r.a. bayan karte hai ke mai aur Abu Musa gaye aur ise (ek gumnam jaga me) dafan kar diya.”
Musannaf ibn Abi Shayba, 13/27-28, hadees- 33808. Iski sanad ko Shaykh Zubair ali zai ne sahih karaar diya hai.
۩ Yunus bin Ishaq ne Surah Shura, ayat- 52 (Ham ne Moosa ko wahee bheji ke raato raat mere bando ko lekar nikal jao, beshak tera peecha hona hai.) se chand aayaat padhi fir Hazrat Abu Moosa ashari r.a. ka ye bayan naqal kiya, Ek dafa Rasoolullah ﷺ ek dehati ke paas tashreef le gaye. Usne Aap ﷺ ki khoob mahmaan nawazi ki. Rasoolullah ﷺ ne us se farmaya, 'Tum ham se wada karo ke hamare paas aaoge. Fir ek dafa wo dehaati Rasoolullah ﷺ ke paas aaya, Rasoolullah ﷺ ne us se pucha, 'Tumhari haajat kya hai?' Us ne kaha, 'Ek oontni kajawah samet, jiska dudh mere ghar wale piye.'
Toh Rasoolullah ﷺ ne farmaya, 'Ye bhi bani israel ki budhiya ki tarah aajiz hai. 'Sahaba e karaam r.a. ne arz kiya, Ya Rasoolullah ﷺ! Bani Israel ki budhiya ka kya qissa hai?
Aap ﷺ ne farmaya, Jab Moosa a.s. ne bani Israel ke humraah rawangi ka irada farmaya toh raasta bhool gaye. Moosa a.s. ne Bani Israel se pucha, 'Aisa kyu hua?' Fir Aap ko Bani Israel ke ulema ne bataya ke jab Yusuf a.s. ki wafaat ka waqt qareeb aaya toh unhone ham se khuda ki qasam lekar ye ahad liya tha ke jab ham Misr se niklenge toh inka jism bhi apne hamraah muntaqil karke lejayenge.
Moosa a.s. ne farmaya, 'Tum me se koi kya ye janta hai ke Yusuf a.s. ki kabr kahaa hai?' Bani Israel ke ulema ne jawaban kaha, 'Is cheez ka ilm sirf bani Israel ki ek budhya ke paas hai. Moosa a.s. ne us budhya ke paas paigaam bheja ke hame Yusuf a.s. ki qabr ki nishaandehi kare. Us ne kaha, 'Pahle mujh se ek waada kare fir bataungi.'
Moosa a.s. ne pucha, 'Kya waada lena chahti ho?' Us ne kaha, 'Ye ke mai Jannat me aapke saath (pados me) rahu.' Moosa a.s. ko ye waada kuch ajeeb sa laga. Lekin ap se kaha gaya ke is se waada farma lijiye toh ap ne is se Jannat ka wada kar liya, tab wo inko apne hamraah lekar pani ki ek jheel par aayi, jiske pani ka rang bhi badal chuka tha.
Usne kaha, 'Is jheel ka paani khushk kare.' Unhone pani khusk kardiya. Jab paani khushk ho gaya to usne kaha, Yaha se khudayi shuru kar de, unhone khodna shuru kar diya toh waha se unko Yusuf a.s. ka jism e Mubarak mil gaya. Jab unhone Yusuf a.s. ko zameen se nikaal liya toh roze roshan ki tarah raasta in par wazeh hogaya.
Al Mustadrak al Hakim, hadees- 3523. Ise Imam Hakim aur Imam Zahabi ne sahih karaar diya hai. [scan]
Kuch Musalmano ka yeh aqidah hai ki ambiya e karaam ki ye zindagi dunyawi hai lekin ye aqidah durust nahi hai kyuki Quran aur sunnat se hame saaf pata chalta hai ki Ambiya karaam ki zindagi barzakhi hai aur iski kaifiyat ka ilm sirf Allah ko hai.
۩ Allah ﷻ farmate hai,
“Aur jo Allah ki raah me katl kar diye jaye unhe murda na kaho, wo zinda hai magar tumhe iski samajh nahi hai.”
Surah Baqarah ﴾2﴿, ayat-154.
Allah pak saaf is ayat me hame kahte hai ki hame marne ke baad ki zindagi ki samajh nahi hai. Allah ﷻ dusri ayat me farmate hai,
Surah al Mominoon ﴾23﴿, ayat-100.
Aur Allah ek ayat me hame fark samjhate hai,
۩ Aur na zinde aur murde barabar hai. Allah jise chahta hai sunwat deta (hear) hai, magar tum un logo ko nahi suna sakte ho qabro me hai.
Surah Fatir ﴾35﴿, ayat-22.
۩ Isi liye Imam ibn Hajar kahte hai,
“Beshak Aap ﷺ apni wafaat ke baad agarche zinda hai lekin ye ukhruwi (barzakhi) zindagi hai, dunyawi zindagi ke mushaba nahi hai, wa Allahu alam.”
Fath ul baari, jild-7, page 349 tahet hadees- 4042.
•٠•●●•٠•
Related:
Post a Comment