Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

4 May 2019

Dua Me Allah ki Tareef Karna Aur Nabi ﷺ Par Durood Bhejna

en    -
Ye mustahab hai ki dua ki shuruat Allah ki tareef aur Nabi ﷺ par durood o salam bhej kar kiya jaye.

۩ Fazalah bin Ubaid kahte hai ki Nabi ﷺ ne ek shakhs ko namaz ke andar Dua karte hue suna, us ne Nabi ﷺ par salat (durood ) na bheja, Nabi ﷺ ne farmaya: “Isne jaldi ki”, fir ap ne use bulaya, aur usse aur uske alawa dusro ko khitab kar ke farmaya, 'Jab tum me se koi bhi namaz padh chuke toh use chahiye ke woh pahle Allah ki hamd o sana bayan kare, fir Nabi ﷺ par durood bheje, fir is ke baad woh jo chahe dua mange'.

Jamia Tirmizi, kitab ad-dawaat ﴾48﴿, hadees- 3477. Ise Imam Tirmizi ne hasan sahih karaar diya hai.

۩ Fazalah bin Ubaid kahte hai ki RasoolAllah ﷺ ne ek aadmi ko namaz me dua karte hue suna, usne na toh Allah ki buzurgi bayan ki, aur na hi Nabi ﷺ par durood bheja, toh RasoolAllah ﷺ ne farmaya, Aye namazi! Tum ne jaldbazi kar di, fir Rasool ﷺ ne use sikhaya (ke kis tarha dua ki jaye) aur isi tarha RasoolAllah ﷺ ne ek aadmi ko namaz ki haalat me Allah ki buzurgi aur hamd bayan karte, aur Nabi ﷺ par durood bhejte suna toh farmaya, 'Ap dua kare ap ki dua qubool ki jayegi, aur mango ap ko diya jayega.'

Sunan Nisai, kitab al sahu ﴾13﴿, hadees- 1285. Ise Darussalaam ne sahih karaar diya hai.

۩ Imam Nawawi kahte hai,

“Ulema  ka is par Ijma hai ki dua ki shuruat Allah ki taareef aur Nabi par salat (durood) bhejne se kiya jaye, aur isi tarike se dua ko khatam bhi kiya jaye (hamd aur durood ke sath). Is mazmun par bohut si marfoo riwayate (jinki nisbat RasoolAllah ke taraf) hai.

Al-Azkaar, p 176.

۞ Dua Me Allah ki Tareef Karne Aur Nabi ﷺ Par Durood Bhejne ka ek aasan alfaz:

“Alhamdulillah wassalatu wassalam ala RasoolAllah.”

Ye padh kar dua ki shuruat kare.

Allah se dua hai ki wo hame amal karne ki taufeek ata kare. aameen.

•٠•●●•٠•


Hame Whats App par join karein: +9779868212118

Post a Comment