اقرأ باسم ربك الذي خلق

28 May 2019

Hukumat Se Jhut Bol Kar Maali Madad Hasil Karna


 Sawal 

Kya maali madad (financial help) hasil karne ke liye hukumat se jhut bola ja sakta hai ya unhe dhoka diya ja sakta hai agar hukumat kafir ki ho, kyuki ham hukumat ko Taxes bhi dete hai.

 Jawab 

Alhamdulillah..

Jhut bolna ya dhoka dena ek Musalman ki sifat nahi hai, aur ye aur khatarnaak ho jata hai jab ap maali madad ke liye aesa karte hai kyuki fir usme haraam kamayi shamil ho jati hai.

Aur isse koi farq nahi padta, ki jisse ap jhut bol rahe hai wo Musalman hai ya kafir, wo ek shaks hai ya hukumat, jhut aur dhoka har haal me galat hai.

۩ Abdullah bin Masud r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Sach neki hai aur neki Jannat ki taraf le jati hai aur bandah puri koshish se sach bolta rahta hai hatta ke wo Allah taa'la ke nazdeek Siddiq (sachha) likh diya jata hai aur jhuth fahaashi hai aur fahaashi jahannam ki taraf le jati hai aur bandah jhuth bolta rahta hai hatta ke use jhutha likh diya jata hai.”

Sahih Muslim, kiab al birr was silati wal adab ﴾45﴿, hadees- 6638.

۩ Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya tha, “Logo par ek aesa zamana ayega ki admi is baat ki parwah nahi karega ki wo halal tarike se kama raha hai ya haraam tarike se.”

Sahih al-Bukhari, kitab al buyu ﴾34﴿, hadees- 2059.

۩ Abu Huraira r.a. se riwayat hai ke unhone ne kaha RasoolAllah ﷺ ne farmaya,

“Aye logo Allah Paak hai aur paak (maal) ke siwa koi maal qubool nahi karta. Allah ne momino ko bhi isi baat ka hukm diya hai jiska Rasoolon ko hukam diya hai. Allah ne farmaya, "Aye paigambaraan e karaam! Paak cheezen khaao aur nek kaam karo. Jo amal tum karte ho mai usay achi tarah janne wala hu. Aur farmaaya Jo pak rizq hamne tumhe inayat farmaya hai us maise khaao.

Fir Aap ﷺ ne ek aadmi ka zikr kia "Jo taweel safar karta hai, Baal pur-agard aur jism ghubaar-alood hai wo ( dua ke liye) aasmaan ki taraf apne haath uthata hai, (aur kahta hai) "Aye mere Rab! Aye mere Rab". Jab ke iska khana haraam ka hai, iska peena haraam ka hai, iska libaas haraam ka hai aur isko ghizaa haraam ki mili hai, fir iski Dua kaise qubool ho sakti hai.”

Sahih Muslim, kitab al zakat ﴾12﴿, hadees - 1015.

Toh isi liye apke liye ye jayez nahi ki ap hukumat se jhut bol kar ya unhe dhoka dekar maali madad hasil kare.

Isi talluq se ek arabi muhawra kuch is tarha hai,

“Jab ap aese maal se hajj karo jo asal haraam ka hai, toh fir aapne toh hajj nahi kiya lekin aap ke oont ne hajj kar liya”

•٠•●●•٠•