اقرأ باسم ربك الذي خلق

10 May 2019

Jaanwar Paalne Ka Hukm


Alhamdulillah..

Hamara Deen jaanwar ko paalne ka hukm deta hai, isme koi harj nahi hai, ba-shart ki jaanwar ke zarurat ke mutabik usko khana aur pani diya jaye.

۩ Anas r.a. kahte hai,

“Nabi ﷺ husn e akhlaq me sab logo se badh kar the, mera ek bhai tha jiska naam Abu Umair tha, mera khayal hai ke uska dudh chhut chuka tha. Aap ﷺ jab tashreef laate toh usse kahte, Aye Abu Umair, Al-Nughair ne kya (kiya)?' Ye ek Bulbul thi jisse wo khela karta tha.”

Sahih al Bukhari, kitab al adab ﴾78﴿, hadees- 6203.

Hafiz ibn Hajar kahte hai,

“Ye (hadees) is chiz ki nishandehi karti hai ki bachho ko parindo (birds) se khelne ki ijazat hai, aur jayz chizo par paise kharch karne ki ijazat hai jisse bachhe lutf utha sake, aur parindo ko pinjdo me rakhne ki ijazat hai aur parindo ke par kaatne ki bhi, kyuki Abu Umair ke paride ke muamle me koi ek surat pesh aayi hogi, aur jo bhi muamla ho, dusra ek hi hukm me ayega.” [alfaz khatm]

Fath al-Baari (10/584).

۞ Lekin sath hi sath in baato ka bhi dhyan rakha jaye:

۩ Jaanwaro me kutta nahi hona chahiye, kyuki RasoolAllah ﷺ ne farmaya hai, “Farishte us ghar me dakhil nahi hote jisme kutte ho”. [Sahih al Bukhari, hadees- 3225]

۩ Parindo ko khareedne me israaf na ho, aksar dekha gaya hai ki log bas competition me parindo ko kafi zyada keemat par khareed lete hai. Allah ﷻ farmate hai,
'Fizool kharch (karne wale) log shaitan ke bhai hai, aur shaitan apne Rabb ka na-shukra hai. [Surah Isra, ayat-27].

۩ Jaanwaro ya parindo ke sath narmi se pesh aaya jaye aur unko unki zarurat ke mutabik khana aur pani diya jaye,

Ibn Umar r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya,

“Ek aurat ek billi ke sabab dozakh me gayi, usne billi ko baand kar rakha, na toh use khana diya aur na hi use khula chhora ki woh keede-maqaude kha kar apni jaan bacha leti.”

Sahih al Bukhari, kitab badi al khalq ﴾59﴿, hadees- 3318.

Isi tarha

Abu Hurairah r.a. ne bayan kiya ke Nabi ﷺ ne bayan farmaya,

“Ek kutta ek kuwe (well) ke charo taraf chakkar kaat raha tha jaise pyaas ki shiddat se uski jaan nikal jaane wali ho ke bani israail ki ek zaniyah (prostitute) aurat ne use dekh liya. Us aurat ne apna moza utaar kar kutte ko pani pilaya aur us (aurat) ki magfirat isi amal ki wajah se ho gai.”

Sahih al Bukhari, kitab ahadees an nabi ﴾60﴿,hadees- 3467.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame amal ki taufeek ata kare. aameen.