اقرأ باسم ربك الذي خلق

22 May 2019

Moosa a.s. Aur Ek Budhi Aurat ka Dilchasp Waqya


Yunus bin Ishaq ne Surah Shura, ayat- 52 (Ham ne Moosa ko wahee bheji ke raato raat mere bando ko lekar nikal jao, beshak tera peecha hona hai.) se chand aayaat padhi fir Hazrat Abu Moosa ashari r.a. ka ye bayan naqal kiya, Ek dafa Rasoolullah ﷺ ek dehati ke paas tashreef le gaye. Usne Aap ﷺ ki khoob mahmaan nawazi ki. Rasoolullah ﷺ ne us se farmaya, 'Tum ham se wada karo ke hamare paas aaoge. Fir ek dafa wo dehaati Rasoolullah ﷺ ke paas aaya, Rasoolullah ﷺ ne us se pucha, 'Tumhari haajat kya hai?' Us ne kaha, 'Ek oontni kajawah samet, jiska dudh mere ghar wale piye.'

Toh Rasoolullah ﷺ ne farmaya, 'Ye bhi bani israel ki budhiya ki tarah aajiz hai. 'Sahaba e karaam r.a. ne arz kiya, Ya Rasoolullah ﷺ! Bani Israel ki budhiya ka kya qissa hai?

Aap ﷺ ne farmaya, Jab Moosa a.s. ne bani Israel ke humraah rawangi ka irada farmaya toh raasta bhool gaye. Moosa a.s. ne Bani Israel se pucha, 'Aisa kyu hua?' Fir Aap ko Bani Israel ke ulema ne bataya ke jab Yusuf a.s. ki wafaat ka waqt qareeb aaya toh unhone ham se khuda ki qasam lekar ye ahad liya tha ke jab ham Misr se niklenge toh inka jism bhi apne hamraah muntaqil karke lejayenge.

Moosa a.s. ne farmaya, 'Tum me se koi kya ye janta hai ke Yusuf a.s. ki kabr kahaa hai?' Bani Israel ke ulema ne jawaban kaha, 'Is cheez ka ilm sirf bani Israel ki ek budhya ke paas hai. Moosa a.s. ne us budhya ke paas paigaam bheja ke hame Yusuf a.s. ki qabr ki nishaandehi kare. Us ne kaha, 'Pahle mujh se ek waada kare fir bataungi.'

Moosa a.s. ne pucha, 'Kya waada lena chahti ho?' Us ne kaha, 'Ye ke mai Jannat me aapke saath (pados me) rahu.' Moosa a.s. ko ye waada kuch ajeeb sa laga. Lekin ap se kaha gaya ke is se waada farma lijiye toh ap ne is se Jannat ka wada kar liya, tab wo inko apne hamraah lekar pani ki ek jheel par aayi, jiske pani ka rang bhi badal chuka tha.

Usne kaha, 'Is jheel ka paani khushk kare.' Unhone pani khusk kardiya. Jab paani khushk ho gaya to usne kaha, Yaha se khudayi shuru kar de, unhone khodna shuru kar diya toh waha se unko Yusuf a.s. ka jism e Mubarak mil gaya. Jab unhone Yusuf a.s. ko zameen se nikaal liya toh roze roshan ki tarah raasta in par wazeh hogaya.

Al Mustadrak al Hakim, hadees- 3523. Ise Imam Hakim aur Imam Zahabi ne sahih karaar diya hai. [scan]

•٠•●●•٠•