Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

9 May 2019

Jamaat Se Namaz Padhna


۩ Abdullah bin Masood ne farmaya, “Jo shaks Allah Ta’ala se Qayamat ke din Musalman ho kar mulaqaat karna chahta hai toh use namazo ki hifazat karni chahiye aur beshak RasoolAllah ﷺ ne hame hidayat ke tareeke sikhaye hai, in hidayat ke tareeko me ye baat bhi shamil hai ke masjid me namaz ada ki jaaye jis me azaan di jaati hai aur agar tum namaz apne-apne gharo me padhoge jaise (jamat se) peeche rahne wala shaks apne ghar me padh leta hai toh tum apne Nabi ki sunnat chhor doge aur agar Nabi ki sunnat chhor doge toh gumrah ho jaoge aur jab koi shaks accha wazu kar ke masjid jaye toh Allah Ta’ala har qadam ke badle ek neki likhta hai, ek darja buland karta hai aur ek burai mita deta hai.
Maine us waqt ko dekha hai jab Jamat se munafiq ke siwa koi piche na rahta tha, jo apne nifaq ke liye ache se jane jate the, Beemar bhi do aadmiyo ke sahaare namaz ke liye laaya jaata tha jab tak wo saff me laa kar khada na kar diya jata tha.”

Sahih Muslim, kitab al Masaajid ﴾5﴿, hadees- 1488.

۩ Ibn e Umar r.a. se riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya, ‘Akele shaks ki namaz se, jamat ke sath namaz padhna 27 darje (sawaab) rakhta hai.’

Sahih al Bukhari, kitab al Azaan﴾10﴿, hadees-  645.

۩ Abu Hurairah r.a. se riwayat hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, ‘Munafiq par Fajr aur Isha ki namaz se zyada aur koi namaz bhari nahi hai aur agar unhe malum hota ki inka sawab kitna zyada hai (aur agar wo chal na sakte) toh ghutno ke bal ghaseet kar aate aur mera toh irada ho gaya tha ki muazzin se kahu ke wo takbeer kahe, fir mai kisi ko namaz padhane ke liye kahu aur khud aag ki chingariya le kar un sab ke gharo ko jala du jo abhi tak namaz ke liye nahi nikle.

Sahih al Bukhari,  kitab al Azaan﴾10﴿, hadees-  657.

۩ Abu Hurairah r.a. farmate hai, ek naabina sahabi (Abdullah Ibn e Umme Maktoom) aaye, inhone apne andhe hone ka uzar pesh  karke apne ghar par namaz padhne ki ijazat chahi kyou’nke inhe koi masjid me lekar aane wala nahi tha, toh Nabi ne inko ijaazat de di, jab wo wapas chale toh Aap ne bulakar pucha, 'Kya ap Azaan sun sakte hai?' Abdullah ne kaha: Ji Haa!
Aap ﷺ ne farmaya, 'Toh fir namaz me hazir ho.’

Sahih Muslim, kitab al Masaajid ﴾5﴿, hadees- 1486.

۩ Ibn e Abbas r.a. se riwayat hai RasoolAllah ﷺ ne farmaya, ‘Jo shaks azaan sun kar masjid me jamat ke liye bagair kisi uzar ke na pahonche (aur ghar mein namaz padh le) toh us se namaz qubool nahi ki jaati.’

Sunan Ibn e Majah, kitab al Masajid wal jamaat ﴾4﴿, hadees- 793. Ise Darussalaam ne sahih karaar diya hai.

۩ Abu Darda r.a. se riwayat hai ki Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jis basti ya jungle me teen aadmi ho aur wo (jamat se) namaz na padhe toh in par shaitan musallat ho jaata hai, pas jamat ko laazim pakdo. Is liye ke bhediya usi bakri ko khata hai jo akeli firti rahti hai.’

Sunan Abu Dawood, kitab al Salat ﴾2﴿, hadees-  547. Ise Imam Haakim, Imam Ibn e Khuzaima aur Imam Zahabi ne sahih karaar diya hai.

•٠•●●•٠•

Post a Comment