۩ Samrah bin Jundub r.a. se riwayat hai, wo kahte hai: ‘Jab RasoolAllah ﷺ namaz padh chukte toh hamari taraf mutawajje hote.’
Sahih al Bukhari, kitab al Azan ﴾10﴿, hadees- 845. Sahih Muslim, kitab al Ru’yaa, hadees- 2275.
۩ Anas r.a. riwayat karte hai ke maine RasoolAllah ﷺ ko aksar apni daahini taraf se mudte hue dekha hai.
Sahih Muslim, kitab salatul musafireen, hadees- 708.
۩ Abdullah bin Masood r.a. kahte hai tum apni namaz me se sirf daei’n taraf se fir kar shaitan ka hissa muqarrar na karo. Maine RasoolAllah ﷺ ko dekha hai ke wo apne baei'n taraf se bhi ferte the.
Sahih al Bukhari, kitab al Azan ﴾10﴿, hadees- 852. Sahih Muslim, kitab salatul musafireen, hadees- 708.
Malum hua ke Imam ko muqtadiyo ke taraf mudne ke liye sirf ek taraf muqarrar nahi kar leni chahiye. Balke kabhi daei’n taraf se fera kare kabhi baei’n taraf se magar aksar daei’n taraf se mudhna chahiye.
۩ Ayesha r.a. riwayat karti hai ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya, ‘Beshak Allah Ta’ala aur uske farishte daie’n taraf wali safo par rahmat bhejte hain.’
Sunan Abu Dawood, kitab al salaat ﴾2﴿, hadees- 676. (Hasan)
۩ Bara r.a. se riwayat hai ke ham RasoolAllah ﷺ ke piche namaz padhte toh ham Aap ke daie’n taraf khade hone ko pasand
karte the, taake Aap hamari taraf mu’n karke baithe.
Sahih Muslim, kitab salatul musafireen, hadees- 709.
۩ Umme Salma r.a. se riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ jab salam ferte toh aurate salam ferte hi khadi ho kar chali jati aur Aap Sahaba ke sath thodi der baithe rahte fir RasoolAllah ﷺ khade hote aur Sahaba e karaam bhi aap ke sath khade ho jaate aur Aap ke uthne se pahle aurate gharo me dakhil ho chuki hoti thi.
Sahih al Bukhari, kitab al Azan ﴾10﴿, hadees- 837, 850.
•٠•●●•٠•
Post a Comment