Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

9 May 2019

Namazi Ke Do Qadam Ke Bich Ka Faasla


Sawaal: As salaam alaykum. Jaha par mai namaz padhta hu waha par baaz log do qadam ke bich ka faasla bahut zyada rakhte hai. Kya yahi nabawi tarika hai? Maherbani farma kar meri mushkil ko dur kare. Allah apko behtareen ajar de.

Jawab

Alhamdulillah..

Hame RasoolAllah ﷺ se namaz me do qadam ke bich ke faasle ke mutallik koi waazeh naseehat nahi milti. Aur ye usool maise hai ki jab kisi chiz ka waazeh hukm ya tarika na ho toh wo waise hi hoga jaise aam haalaat me hota hai. Toh isi liye namaz ke qadam ke bich ka faasla utna hi hona chahiye jitna ek shaks aam haalaat me khada hota hai, yaani darmiyani faasla; na bahut zyada faasla aur na bahut kam faasla.

۞ Hamare Ahle ilm ki raaye kuch is tarha hai:

۩ Shaykh Saleh al Munajjid kahte hai:

“Jaha tak namaz me qadam ke bich ka faasla hai toh namazi ko apne pair aetedaal ke lihaj se rakhna hai, naa hi apne qadam ko ek sath rakhna hai aur naa ki apne qadam ko boht dur rakhna hai, kyuki jitna dur wo qadam ka faasla rakhega, utna hi dur uska kandha bagal wale ke kandhe se hoga. Saff ko sidha aur thos (compact) rakhna, qadam se qadam aur kandhe se kandhe khade hone se hasil hota hai.”


۩ Shaykh Bakr Abu Zayd kahte hai:

“Lekin taango ko zyada failana aur pairo ko andar ki taraf kar lena taake khud ke takhne bagal wale ke takhne ko chue ye waazeh galati hai aur had se  tajawuz hai, aur ye ek nayi tashree hai jo sunnat par amal karne pe had se guzarne ka ishara karti hai. Isse chidh paida hota hai aur ye shariat ke ahkaam se nahi hai, aur isse namaz ke liye khade hue (do) shaks ke bich jagah badh jaati hai.

Aur ye tab zahir hota hai jab log sajda karte hai, aur jab wo firse khade hote hai, wo fir khali jagah ko bharne me tawajjo dene lagte hai aur ye koshish karne lagte hai ki apne paao ko mod kar bagal wale ke takhno se mila sake, jisse wo chhut jata hai jo unko karna chahiye, jo ki pairo ki ungli ko qiblah ki taraf rakhna hai.”

Laa jadeed fi Ahkaam al-Salaah, 12-13.

۩ Shaykh ibn Uthaymeen kahte hai:

“Agar ye waazeh ho jaye ki wo shaks jo namaz me tumhare bagal khada hai wo apne pair tum se dur karta rahta hai (tumhare pair se apna pair milane se inkaar kar raha hai), toh ye sunnat me se nahi hai ki tum apna pair (baar baar) uske nazdeek karo.”

Liqaa ash-Shahri, page-16.

•٠•●●•٠•

Related: Safo ke Ahkaam

Post a Comment