Anas ibn Malik r.a. bayan karte hai ke ek Ansari shakhs masjid e Qubaa me imamat karwate the toh woh jab bhi namaz me koi surat padhte toh usse pahle Qul huwa Allaahu ahad padh kar koi aur surat padhte, aur woh har rakat me isi tarha karte toh unke namaziyo ne unse baat ki ke ap har rakat isi surat ke sath shuru karte aur fir dusri surat padhte hai, Aap ya toh Qul huwa Allaahu ahad padha kare ya phir use chore kar aur koi surat padhe toh inhone jawab diya ke mai ye nahi chor sakta, agar ap chahte hai toh mai imamat karwata hu, aur agar napasand karte ho toh imamat chore deta hu, unke haan woh sab se afzal the aur namazio ko inki imamat achhi lagti thi aur woh yeh napasand karte the ke inke alawa koi aur imamat karwaye.
Jab Nabi ﷺ un ke paash tashreef laaye toh unhone yeh maamla unke saamne pesh kiya, toh Nabi ﷺ farmane lage, 'Aye fula jo kuch tumhe tumhare namazi kahte hai us par amal karne se kaun si cheez rokti hai? Aur tumhe is par kis ne ubhara hai ke tum ye kaam har rakat me karte ho?'
Toh inhone jawab me arz kiya, 'Mai is surat se muhabbat karta hu', Nabi ﷺ farmane lage ke is surat ke sath tumhari muhabbat tumhe jannat me le jayegi.
Sahih al Bukhari, kitab al azaan ﴾10﴿, baab al-jam bayna suratayn fil-rakah ke tahet, muallaq riwayat. Jamia Tirmizi, kitab fazail al Quran ﴾45﴿, hadees- 2901. Sahih (Darussalaam).
•٠•●●•٠•
Post a Comment