Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

18 May 2019

Ramzan ke Teen Ashre Aur Ek Neki Par 70 Neki | Hadees ki Tahkeek

hi     

  Sawal  

Niche di gai hadees jo ke Salman Farsi r.a. se marwi hai, is ki sahet kaisi hai?

Nabi ﷺ ne hame shabaan ke aakhri din khutba irshad farmaya, jis me yeh farmaya, 'Logo tum par azmat aur barkat wala maheena nazdeek aa raha hai, aisa maheena jis me ek raat aisi hai jo hazaar maheeno se behtar hai, is ke roze Allah taala ne farz karaar diye hai aur is ki raat ka qiyam nawafil hai, jis ne bhi is mahine me (koi) neki ki woh aise hai jis tarha aam dino me fareeza ada kiya jaaye, aur jis ne Ramzan me farz ada kiya goya ke usne Ramzan ke ilawa sattar farz ada kiye, yeh aisa maheena hai jis ka awwal rahmat aur darmiyan magfirat aur aakhri hissa jahannam se aazaadi hai.'

  Jawab  

Alhamdulillah..

Is hadees ko Imam ibn Khuzaima ne apni kitab 'Saheeh ibn Khuzaima 3/191, hadees- 1887' me naqal kiya hai. Aur unhone sath me likha hai, 'Agar ye riwayat sahih hai'.

Aur jinhone is kitab se apni kitab me is hadees ko naqal kiya, un maise kuch kitabo ke musannif jaise Munziri [al Targheeb wal Tarheeb (2/95)] se 'Agar' alfaz chhut gaya tha. Toh unko laga ki Imam ibn Khuzaima ne farmaya hai ki 'Ye riwayat sahih hai', jab ki asal me unhone aesa kuch nahi farmaya.

Ye riwayat dusri kitabo me bhi maujud hai jinke ye naam hai:

• Imam Bayhaqi ki Shu’ab al-Eemaan (7/216)
• Fazail al-Awqaat, p. 146, no. 37
• Abu’l-Shaykh Ibn Hibbaan ne Kitaab al Sawaab me
• Saa’aati ne Fath al-Rabbaani me (9/233) 
• Imam Suyuti ne Durr al-Mansoor me, aur unhone kaha ki ise Aqeeli ne riwayat kiya hai aur unhone is zaif karaar diya hai
• Isbahaani ne al-Targheeb me
• Al-Munaqqi ne Kanz al Ummaal (8/477) me.

In saare logo ne Saeed ibn Musayyib se riwayat kiya hai jinhone Salman Farsi se riwayat kiya hai. Iski sanad do (2) wajah se zaif hai:

1. Is ki sanad me inqita (break in the chain of narrators) hai kyuke Saeed bin Musayyab ka Salman Farsi r.a. se samaa sabit nahi hai.

2. Iski sanad me ek raawi hai jiska naam 'Ali ibn Zayd ibn Jad’aan' hai, jiske bareme Ibn Sa'd kahte hai, 'Is (raawi) me kamzori hai aur is raawi ko daleel nahi banaya ja sakta.' Is raawi ko Imam Ahmad, Ibn Ma’een, Imam Nasaa’i, Imam ibn Khuzaymah, al Jawzjaani aur dusro ne zaif karaar diya hai, jaisa ki Siyar A’laam al-Nubala’, 5/207 me kaha gaya hai.

Abu Haatim al-Raazi ne is hadees ko Munkar (zaif ki ek qism) karaar diya hai. Al Ayni ne Umdat al-Qaari’, 9/20 me bhi yahi kaha hai aur Al-Albani ne Silsilat al-Ahaadeeth al-Zaifah wa’l-Mawzu’ah, jild. 2/262, hadees- 871. me bhi yahi kaha hai.

Toh in daleelo se wazeh hua ki hamare Muhaddiseeno ne is hadees ko qubul nahi kiya aur Allah behtar janta hai.

Ek baat ki wazahat aur zaruri hai ki jaisa is zaif hadees me kaha gaya hai ki 10 din (ek ashra) rahmat ka hota hai, dusra ashra magfirat ka aur teesra jahannam ki aag se najaat ka. Jab ki dusre sahih hadees se pata chalta hai ki Ramzan ki taqseem is tarha se nahi hai balki pura Ramzan, pura maheena rahmat ka hai, pura maheena magfirat ka hai aur pura maheena hi jahannam se najaat ka hai.

Allah se dua hai ki wo hamari maah e Ramzan ki ibadat ko qubul kare aur is maheene ki barkat se hamari magfirat kar de. aameen.

•٠•●●•٠•

Post a Comment