اقرأ باسم ربك الذي خلق

20 May 2019

Rozedaar ki Dua

   en   -
Alhamdulillah..

Allah ﷻ rozedaar ki dua radd nahi karta. Rozedaar ko do (2) muqam par dua karni chahiye:

۩ Jab wo roze ki haalat me ho
۩ Jab wo roza khole

۞ Roze ki Halat me Dua

Abu Hurairah r.a. bayan karte hai ke ham ne Rasool ﷺ ko arz kiya,

Aye Allah ke Nabi jab ham Aap ko dekhte hai toh hamare dil naram ho jate hai, aur un me riqqat paida ho jaati hai, aur ham ahle aakhirat me se ho jate hai, aur jab ham aap se juda hote hai toh hame duniya achhi lagne lagti hai, aur ham apni aurton aur bachon me mashgool ho jate hai.

Toh Rasool ﷺ ne farmaya, 'Agar tum har haal me isi haalat par raho jo tumhari haalat mere paas hoti hai toh tumahre sath farishte musafah kare, aur tumhare gharo me tumhari ziyarat kare, aur agar tum gunah nah karo toh Allah tala aisi qaum le aayega jo gunah karenge taakeh woh inhe bakhsh de.'

Toh ham ne arz kiya, Aye Allah ke Rasool hame jannat ke mutalliq bataiye ke is ki imarate kaisi hai?

Toh Rasool ﷺ ne farmaya,

'Is ki ek eent sone aur ek chandi ki hai, aur uska gaara (mortar) tez khusbhu wali kasturi ka hai, aur is me jo kankadiya bichai gai hai woh moti aur yaqoot (ruby) ki hai, aur is ki mitti zafran ki hai, jo bhi jannat me daakhil hoga woh nemato me hoga aur use koi taqleef nahi aayegi, woh hamesha rahega, aur use kabhi maut nahi aayegi, aur uska libaas kabhi purana nahi hoga, aur na hi us ki jawani khatam hogi, teen shakhs aise hai jin ki Allah taala Dua radd nahi karta, ek nek o adil imam o hukamran, aur roza daar hatta ki iftari karle, aur mazloom ki dua ko upar uthaya jata hai hatta ke us ke liye aasman ke darwaze khol diye jate hai, aur Allah azzwajal farmata hai: 'Mujhe meri izzat ki qasam, mai tumhari zarur madad karunga chahe kuch der baad hi karu.'

Musnad Ahmad, hadees- 8030. Ise Shaykh Shuaib Arnot ne saheeh karaar diya hai.

۞ Roze Kholne par Dua

RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Teen log hai jin ki dua radd nahi hoti, ek rozadaar ki, jab wo roza khole, (dusra) adil imam (just leader), ( teesra ) mazloom, is ki Dua Allah badal se upar tak pahunchata hai, is ke liye aasman ke darwaze khol diye jate hai, aur Rab kahta hai, Meri izzat (qudrat) ki qasam! mai teri madad zarur karunga, bhale kuch waqt ke baad hi kyu nah ho.”

Jamia Tirmizi, kitab ad dua ﴾48﴿, hadees- 3598. Ise Imam Tirmizi aur Darussalaam ne Hasan karaar diya hai.

Allah se dua hai ki wo hamare rozo ko qubul kare. aameen.

•٠•●●•٠•

Related: