اقرأ باسم ربك الذي خلق

3 May 2019

Sajde Me Dua Kaise Mange


Alhamdulillah..

● Step 1:

Sajde me jaaye.

● Step 2:

RasoolAllah sajde me apne sar ko dono hatho ke darmiyan rakhte the. [Abu Dawood: al Salah: 726. Ise Imam Ibn e Hibban (485) ne Saheeh kaha.]

● Step 3:

RasoolAllah jab ruku karte to ungliyo ko kushada karte aur jab sajda karte to hatho ki ungliyo ko milakar rakhte the. [Hakim V1 P 227 – Baheqhee V2 P 112) Imam Haakim aur Imam Zahabi ne ise Saheeh kaha.]

● Step 4:

Tasbihaat, yaani “Subhaana Rabbiyal A’alaa” Padhen.  [Sahih Muslim: Salatul Musafireen, 772]

● Step 5:

(Ab) Jo Dua mangna chahe wo maange. [Sahih Muslim, hadees- 482.]

● Step 6:

Sajde se sar uthaye aur baaki namaz muqammal kare.

۞ Notes

 Sajde me dua arabic me maangi jaye ya khud ke zuban me, is mauzu par ahle ilm me ikhtilaf paya jata hai. Kuch ahle ilm kahte hai ki khud ke zuban me bhi dua kar sakte hai aur baaz ahle ilm kahte hai ki khud ke zuban me dua nahi kar sakte aur sirf arabic me duae karni chahiye.

Mere ilm ke nazdeek, agar kisi ko arabic aati ho ya kam az kam jo duae wo karna chahta hai uski arabic usko pata ho toh iski koi wajah nahi hai ki wo kisi dusre zuban me duae kare aur ye afzal bhi hai ki arabic me duae mangi jaye.

Lekin agar kisi ko arabic nahi aati hai toh wo khud ke zuban me bhi duae kar sakta hai, deen me aasani ke tahat. Lekin isse behtar tarika ye hoga ki wo kuch arabic duae yaad kar le khas kar wo duae jo wo aksar apne Rab se mangta hai (kisi se arabic me tarjuma karwa kar) aur fir usi duae ko sajde me padhe.

Aur ek arabic ki dua jo aksar logo ko aati hai, wo ye hai,

رَبَّنَا آتِنَا فِىْ الدُّنْيَا حَسَنَةً وَفِىْ الآخِرَةِ حَسَنَةً وَّقِنَا عَذَابَ النَّارِ-

'Rabbana aatina fid-dunya hasanatan wa fil akhirati hasanatan waqina azaban-naar' [2:201]

Toh jisko arabic na aati ho, wo ye dua yaad kar le agar use yaad na ho kyuki ye boht faydemand dua hai dunya aur akhirat dono ke lihaj se.

۩ Anas r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ki aksar dua ye hua karti thi, 'Rabbana aatina fid-dunya hasanatan wa fil akhirati hasanatan waqina azaban-naar (Aye hamare Rab! hame duniya me bhalayi de aur aakhirat me bhi bhalayi de, aur hame aag ke azaab se bacha le.)'.

Sahih al Bukhari, kitab ad dawaat ﴾80﴿, hadees- 6389.

 Rasool ﷺ ne ruku aur sajde me Quran ki ayat padhne se mana farmaya hai [Sahih Muslim (1076)]. Lekin ahle ilm kahte hai ki agar koi quran ki dua ho toh wo sajde me padh sakte hai kyuki ye dua ke taur par padhi ja rahi hai na ki ayat ke taur par aur isliye bhi kyuki innamal aa'malu binniyat, amal ka daromadaar niyat par hai. (tafseel ke liye ye article check kare)

 Aur ye sajde me dua farz rakat me bhi maang sakte hai aur nawafil (sunnat) rakat me bhi.

•٠•●●•٠•