اقرأ باسم ربك الذي خلق

9 May 2019

Tas-heer (Sehri ke liye logo ko Mic se jagane) Ki Biddat


Alhamdulillah..

Tas-heer ka matlab Minaar se logo ko sehri ki yaad-dhihani karana ye kah kar ki sehri ka waqt khatm ho raha hai, hazraat jald se jald uth kar sehri kar le ya fir sadak par naat padh kar aur dhol baja kar logo ko sehri ke liye jagana jaise kuch mulk me hota hai ya isi tarha ki chize karna. Ye saari chize biddat me shumar hongi kyuki RasoolAllah ya kisi ek sahabi se bhi ye amal sabit nahi hai.

RasoolAllah ﷺ ke zamane me logo ko jagane ke liye Aazan di jati hai.

۩ Abdullah bin Masud r.a. riwayat karte hai ke Nabi ﷺ ne farmaya, “Bilal ki Azaan tumhe sehri khane se na rok de kyunki woh raat rahe se azaan dete hain taake tum maise jo log aakhri raat ki namaz (Tahajjud) padh rahe hai woh jaldi kar le aur jo abhi soye hue hai woh jaag jaye.

Sahih al-Bukhari, kitab al aazaan ﴾10﴿, hadith- 621. Sahih Muslim, hadees- 2541.

۩ Imam Nawawi is hadees ki sharah me likhte hai,

“Iska matlab ye hai ki, wo sirf raat ko aazaan dete hai taakeh tumhe ye pata chal jaye ki subah (fajr) ab zyada dur nahi hai, taakeh jo namaz ke qiyam me jiddo jahad kar raha ho wo jaaye aur aaram kar le, taaki wo taqat ke sath (dobara) uth sake, ya fir jisne abhi tak witr na padhi ho wo padh le, ya jo fajr ki namaz ke liye tayar hona chahta ho, jaise khud ko paak karna, toh wo aesa kar sake, aur dusre muamlat jo fajr se talluk rakhte hai.

RasoolAllah ke Alfaz, aur jo so raha ho wo jaag jaye, iska matlab: wo khud ko fajr ke liye bhi tayar kar sake, jaise ki tahajjud padhna jitna wo chahta ho, ya witr padhna agar usne na padhi ho, ya sehri karna agar wo roza rakhna chahta ho, ya ghusl ya wuzu karna, ya dusri cheeze jo use fajr se pahle karne ki zarurat ho.” (alfaz khatm).

Sharah Sahih Muslim (7/204).

۩ Ayesha r.a. riwayat karti hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Bilal r.a. raat ko azaan dete hai toh khaya-piya karo jab tak ke Ibn Umm Maktum Azaan na dede.”

Sahih al-Bukhari, kitab al aazaan ﴾10﴿, hadith- 622.

Hamare muashre me jo ye amal ho raha hai ki 1 ghante pahle ki mic par baar-baar sehri se jagaya jata hai aur naat wagaira padha jata hai, is amal ka RasoolAllah ki sunnat se koi talluq nahi hai. Behtar yahi hoga ki ham wapis Rasool ki sunnat ke taraf laut jaaye aur wahi amal kare jo Rasool ke zamane me hua karta tha. Mic par ye amal karne se gair-musalmano ko bhi kaafi taqleef ka saamna karna padta hai aur baaz auqat wo is amal se chidh jaate hai aur unke dilo me Islam ke liye nafrat aane lagti hai. Jab ki hamare amal se unhe Islam se muhabbat honi chahiye aur hamara amal aesa hona chahiye jisse wo Islam ke nazdeek aa sake.

Aur Allah sab se behtar janta hai.

•٠•●●•٠•