Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

21 Jun 2019

Eid ke Din Ek Baar Gale Mile Ya Teen Baar


Alhamdulillah..

Hamare muashre do tarha ke log hai. Ek toh wo jo eid ke din ek baar gale milte hai aur dusre wo jo teen baar gale milte hai. Aaiye dekhte hai kiska amal sahih hai.

Eid ke din ek dusre ko eid mubarak kahna, gale milna, hath milana, siwai banana, eidi lena-dena, wagaira. Ye saare kaam na toh Rasoolullah ﷺ ne kiye aur na hi kisi sahaba e karaam ne. Ye saari chize ham apne muashre ke mutabik rasam ke taur par karte hai, in cheezo ka deen se koi lena dena nahi hai. Aur ye saari chize is liye rasam me shumaar hoti hai kyuki koi ye amal sawab ki ummeed se nahi karta, ye rasam ke taur par ki jaati hai. Koi bhi shaks eid ke din sawab ki niyat se siwai nahi banata, wo rasm ke taur par banate hai.

Isi tarha eid ke din ek dusre se gale milna, ye bhi ek rasm hi h. Aur rasm ka bunyadi usool ye hai ki Deen me kisi bhi rasm ki ijazat hai jab tak ke us rasm ki koi bhi chiz deen se takraaye na. Toh is lehaaj se jis ilake me ek baar gale milne ka rasm hai waha ek baar gale milna chahiye aur jis ilake me teen baar gale milne ka rasm hai waha par teen baar gale milna chahiye taaki koi nafrat aur galat rawayya na paida ho ek dusre Musalman ke bich.

Kuch ilaqe aese bhi hai jaha par dono tarha ke rasm ka jawaz hai, yaani ek baar bhi aur teen baar bhi. Toh iska hal ye hai ki jo log ek baar milne ke qayel hai ap unse ek baar mile aur jo log teen baar milne ke qayel hai ap unse teen baar mile taaki ek dusre ke bich koi nafrat ya galat khyal na paida ho. Eid ka din waise bhi khushi aur muhabbat ka din hota hai. Aur ye deen ka koi masala nahi hai jisse koi pakad hogi hamari.

Aur agar apke paas is raaye se behtar koi raaye hai toh us par amal kare. Aur Allah sabse behtar janta hai.

•٠•●●•٠•

Post a Comment