Alhamdullillah..
Gair-mahram se hath milana bila-shuba hamare Deen me haraam hai, hath milana toh baad ki cheez hai, yaha tak ke hamare deen ne gair mahram ko chune se bhi mana kiya hai.
۩ Ma’qal ibn Yassaar r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,
“Tum me se kisi ka sar lohe ki keel se phaad diya jana, Ye uske liye kisi gair-mahram aurat ko chune se behtar hai.”
Al Mu'jam Al Kabir Tabrani, hadees- 486. Is riwayat ko Saheeh al-Jaami, hadees- 5045 me Sahih karaar diya gaya hai.
Isi tarha hamare Nabi ﷺ ka tarika bhi hame ek hadees se pata chalta hai
۩ Ayesha r.a. ne bayan kiya ke Momin aurate jab hijrat kar ke Nabi ﷺ ke paas aati thi toh Aap ﷺ Allah ke hukm ke mutabik inhe aazmaate the, “Aye woh logo! Jo eemaan le aaye ho, jab momin aurate tumahre paas hijrat kar ke aaye toh inhe aazmao.. (60:10).
Ayesha r.a. ne bayan kiya ke fir un (hijrat karne wali) momin aurto me se jo is shart ka iqraar kar le, toh woh aazmaish me puri samjhi jati thi. Chunanche jab woh is ka apni zubaan se iqraar kar leti toh Rasoolullah ﷺ un se farmate ke ab jao maine tum se ahad le liya hai.
Wallah! Allah ke Rasool ke haath ne (bayt lete waqt) kisi aurat ka haath kabhi nahi chua, lekin wo un se sirf zubaan se (bayt lete the). Wallah! Allah ke Rasool ﷺ ne aurto se sirf unhi cheezo ka ahad liya jin ka Allah ne Aap ko hukm diya tha. Bayt lene ke baad Aap un se farmate ke maine tum se ahad le liya hai.
Sahih al Bukhari, kitab al talaaq ﴾68﴿, hadees- 5288.
Balki Allah ki kitab toh hame yaha tak hukm deti hai:
۩ Allah ﷻ khwateen ko hukm dete hue farmate hai,
'Woh (aurte) apne paon zameen par maarti hui na chala kare ke apni jo zeenat unhone chupa rakkhi ho uska logo ko ilm ho jaye.'
Surah Noor ﴾24﴿, ayat- 31.
Allahu akbar. Jo Quran hame payal ko pahen kar ahista chalne ki talkeen karta hai taaki iski awaz gair-mahram tak na pade, toh wo hame gair-mahram ko chune ki ijazat kaise de sakta hai.
Aur Allah hi ke liye saari tareefe hai.
•٠•●●•٠•
Related:
Post a Comment