Agar koi shakhs haalat e janabat (post-sex impurity) me ho toh uske liye Allah ka zikr karna aur Allah se dua karna jaiz hai, chahe sone ki duae, ya koi azkaar ho toh woh bhi kar sakta hai.
Is ki daleel Ayesha r.a. ki darj e zail hadees hai:
۩ Ummul Momineen Ayesha r.a. bayan karti hai,
“Rasool ﷺ har haalat me Allah tala ka zikr kiya karte the.”
Sahih Muslim, kitab al haiz ﴾3﴿, hadees- 826.
Baaz shaarheen hadees is ki sharah karte hue kahte hai:
Hadees asal ke liye muqarrar hai, woh yeh ke har haalat me Allah tala ka zikr kiya jaaye, chahe be-wuzu ho ya fir junbi haalat me ho Allah ka zikr, subhanAllah, Laa ilaaha illallah, Allahu akbar, alhamdulillah wagaira dusre jaiz azkaar aur duae padhi ja skti hai, Musalmano ka is par ijma hai.
Lekin junbi haalat me jo azkaar haraam hai woh quran majeed ki tilawat hai, ke koi ek aayat Quran majeed se dekh kar ya zubani padhna jaiz nahi, kyuki Rasool ﷺ se aisa karne ki mumaniyat sabit hai.
Lekin junbi shakhs ke liye mustahab yeh hai ke woh jab sona chahe to apni sharamgaah dho kar wuzu kare.
Is ki daleel darj zail (niche di hui) hadees hai :
۩ Abdullah bin Umar r.a. bayan karte hai ke Umar r.a. ne Rasool ﷺ se arz kiya, 'Aye Allah tala ke Rasool kya ham me se koi shakhs janabat ki halat me so jaya kare?'
Toh Rasool ﷺ ne jawab diya, 'Ji haan! jab woh wuzu karle.'
Sahih al bukhari, kitab al ghusl ﴾5﴿, hadees- 290.
Dekhe: al-Sharh al-Mumti by Ibn Uthaymeen, 1/288; Tawdeeh Ahkaam by al-Bassaam, 1/250; Fataawa Islamiyyah, 1/232.
•٠•●●•٠•
Post a Comment