Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

27 Jun 2019

Kya Allah ka Diya Hua Naam Hamare Liye Kaafi Nahi?


Allah swt farmate hai,

'..ussi Allah ne tumhara naam Musalman rakha hai is Quran se pahle aur is me bhi..

Quran, 22.78.

۩ Haris al Ash'ari riwayat karte hai ki Rasoolullah ne farmaya, 'Mai tumhe paanch baato ka hukm deta hu jinka Allah taala ne mujhe hukm diya hai. Pahla hai Jamaah, dusra hai itaat karna, teesra hai sunna, chautha hai Hijrat aur panchwa hai Jihad karna Allah ke raah me.

Aur  jo shaks balisht barabar bhi Jamaah se alaidah hua us ne goya Islam ki Tauk apne gardan se utaar fenka magar us surat me ke jamaah me wapis aajaye aur puri tarah ameer ki itaat kare.

Aur jo bhi Islam ke zamane me jahiliyat ke naam se pukarna shuru kar de toh wo dozakh me dale jane wale khush wa khishak me hoga.

Ek shaks ne arz kiya: 'Ya Rasoolullah! agarche wo namaz padhe aur roza rakhe.' Aapne farmaya, “ (Ha) Agarche wo namaz padhe aur roza rakhe. Pas tum apne ap ko us naam se pukaro jis naam se Allah ne tumhe pukara hai. Usne tumhara naam MUSLIM, MOMIN AUR ABDULLAH (Allah ka banda) rakha hai.'”

Jamia Tirmizi, kitab al amshaal ﴾42﴿, hadees- 2863. Ise darussalaam ne sahih karaar diya hai.

۞ Is hadees par Salaf ka faham:

۩ Shaykh Ibn Taymiyya kahte hai,

“Minjumla un baato ke jin se ummat me tafarraqa paida hota hai aur jinhe darmiyan me lakar ummat ko tarah tarah ke azmaish wa mahnat me daala jata hai, halanke Allah aur Rasoolullah ﷺ se in ki koi daleel nahi. Ek ye bhi hai ke masalan kisi ko pucha jaye ke tum Shukayki hai ya Qarfandi?

Ye lakab e batil hai, kyuki inke sahih hone me Allah ne koi daleel nahi utari. Allah ki kitab aur Rasoolullah  ki sunnat aur salaf as saliheen ke aqwaal ma'aroofa me inka mutlaq pata nahi chalta, na koi Shukayki hai na Qarfandi.

To jab kabhi kisi Musalman se is chiz ki nisbat pucha jaye toh us par wajib hai ke wo jawab de ke mai na Shukayki hu na Qarfandi, balke mai Musalmaan hu, Allah ki kitab aur Rasoolullah ki sunnat ka muttabi hu.

[Note: Shukayki aur Qarfandi us zamane ke firqe the]

Ameer Muawiya r.a. se hame ye riwayat pahuchi hai ke inhone ek dafa ibn e Abbas r.a. se pucha ke Ap Hazrat Ali r.a. ki millat par hai ya Usman r.a. ki? Inho ne kaha ke 'Na mai Ali ki millat par hu, aur na Usmaan ki, Mai to Rasoolullah ki millat par hu'.

Salaf as saliheen me se har ek yahi kahta tha, 'Ye tamaam Naam (laqab) Gumrahi hai aur in ka anjaam dozakh hai.'

Ek Salaf farmate hai, Mai ye nahi janta ke dono nemato me se kaun si nemat badi hai, ye nemat badi hai ke Allah ne mujhe Islam ki taraf rahnumaayi ki ya ye ke Allah ne mujhe gumraahi se alag kiya. Allah ne Quran me hame Musalman, Momim aur Abdullah kah kar pukara hai. Ham hargiz nahi chahte ke Allah ke tajweez karda naamo ko chhor kar wo naam ikhtiyaar kare jo kisi khaas Qaum ne ba'tareeq ejaad kiya ho aur unhone aur un ke aabaa wa ajdaad ne khud gadh liye ho. Halanke Allah ne un ke mutalliq koi daleel nazil nahi farmayi.”

Al wasiyat al kubra, page- 75.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame Rasoolullah aur salaf as saaleh ke manhaj par chalne ki taufeek ata kare. aameen.

Post a Comment