Alhamdulillah..
Hamare masjido me dekha jata hai ki bahut se log nawafil namaz baith kar padhte hai aur jab unse pucha jata hai ki ap aesa kyu karte hai toh wo kahte hai ki Rasool ﷺ nawafil namaz baith kar ada karte the. Aaiye dekhte hai iski haqiqat kya hai.
Ibadat ki do shakal hai, ek toh farz aur dusra gair-farz yaani nawafil. Aur namaz ki ibadat me bhi yahi do kism hai.
۞ Farz Namaz baith kar ada karna
۩ Imran bin Hussain r.a. riwayat karte hai, 'Mujhe bawasir (piles) ka marz tha. Is liye maine Nabi ﷺ se namaz ke bareme daryaft kiya, Aap ﷺ ne farmaya,
“Khade ho kar namaz padha karo, agar iski bhi taaqat na ho toh baith kar aur agar iski bhi na ho toh pahlu ke bal layt kar padh lo.”
Sahih al bukhari, kitab al taqseer ﴾18﴿, hadees- 1117.
۩ Ibn Qudaamah al-Maqdisi kahte hai,
“Ulemao ka is par ijma hai ki agar koi shaks khada na ho sake toh wo baith kar namaz padh sakta hai.”
Mughni, 1/443.
۩ Imam Nawawi farmate hai,
“Ummat ka ijma hai ke jo shakhs farz namazo me qiyam na kar sake toh woh baith kar namaz ada kare, aur use namaz nahi lautana hoga, hamare ashaab ka kahna hai,
'Qiyam na kar ke namaz ada karne se us ka sawab kam nahi hoga kyuki woh qiyam se mazoor hai, aur fir sahih al bukhari me Nabi ﷺ ka farmaan sabit hai ki jab banda bimaar ho jata hai ya safar me ho toh us ke liye bhi wahi aamaal likhe jaate hai jo woh tandurusti aur sehat ki haalat me karta raha hai.'”
Al-Majmoo, 4/226.
Toh isse baat sabit hui ki farz namaz me sirf tabhi baitha ja sakta hai jab koi uzar ho aesa karne ka.
۞ Nawafil namaz ke liye baithna
Jaha tak nawafil namaz ke liye baithna hai toh ulema ka is par ijma hai ki bina uzar ke bhi nawafil namaz ke liye baitha ja sakta hai lekin aese karne wale ko khade ho kar namaz padhne wale ke muqable me aadha sawab milega.
۩ Hafsah r.a. kahti hai, 'Maine Rasoolullah ﷺ ko kabhi baith kar nawafil padhte nahi dekha yaha tak ke aapki wafaat se ek saal pahle Aap baith kar namaz padhne lage the, Aap ﷺ surat padhte toh itna thaher thaher kar padhte ke wo taweel se taweel tar ho jati.'
Sunan Nisai, kitab qiyam ul lail ﴾20﴿, hadees- 1659. Ise darussalaam ne sahih karaar diya hai.
۩ 'Imran bin Husain r.a. kahte hai, 'Maine Nabi ﷺ ko baith kar namaz padhte dekha toh maine arz kiya ke mujh se bayan kiya gaya hai ke Aap ne farmaya hai ki baith kar padhne waale ki namaz khade ho kar padhne wale ki namaz ke aadhi hoti hai, Aur Aap khud baith kar padh rakhe hai?
Aap ﷺ ne farmaya,
“Ha lekin mai tum logo ki tarah nahi hu”'
(Yaani baith kar namaz padhne se bhi mujhe pura sawab milta hai)
Sunan Nisai, kitab qiyam ul lail ﴾20﴿, hadees- 1660. Ise darussalaam ne sahih karaar diya hai.
Toh baat wazeh hui ki ham nawafil namaz baith kar bhi padh sakte hai lekin sawab me kami ho jayegi. Aur jaha tak ye kahna hai ki Rasool ka tarika hai nawafil namaz baith kar padhna toh upar ki hadees se baat wazeh hui ki ye Rasoolullah ﷺ ki khususiyat thi ki wo baith kar namaz padhte the fir bhi unhe muqammal namaz ka sawab milta tha. Isi liye hame bhi chahiye ki ham khade ho kar nawafil padhe taaki zyada sawab ke haqdaar ho jaye.
Aur Allah sabse behtar janta hai.
•٠•●●•٠•
Post a Comment