۩ Ibn Abbas r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullahﷺ ne farmaya,
“Allah se muhabbat karo kyunke woh tumhe apni nemate ata kar raha hai, aur muhabbat karo mujh se Allah ki khatir, aur mere ahle bait se meri khatir.”
Jamia Tirmizi, kitab al manaqib ﴾49﴿, hadees- 3789. Ise Imam Timizi ne hasan gareeb aur darussalaam ne hasan karaar diya hai.
۩ Zaid bin Arqam r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,
“Mai tumhare darmiyan wo chiz chhore ja raha hu ki agar tum ne ise pakda rakha toh mere jaan ke baad tum gumrah nahi hoge. Ye (do chiz) ek dusre se bhaari hai aur wo Allah ki kitab hai goya wo ek rassi hai jo aasmaan se zameen tak latki hui hai, aur dusre mere ahle bait hai, ye dono hargiz juda na honge yaha tak ke ye dono hauz e kausar par mere paas ayenge, toh tum dekh lo ki in dono ke silsile me tum meri kaisi jaanashini kar rahe ho.”
Jamia Tirmizi, kitab al manaqib ﴾49﴿ , hadees- 3788. Ise Imam Tirmizi ne hasan gareeb aur darussalaam ne sahih karaar diya hai.
۩ Abdullah ibn abbas r.a. bayan farmate hai ke Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya, “Aye bani Abdul Muttalib! Mai ne tumhare liye Allah se teen chiz mangi hai ke,
1. Tumhe sabit qadam rakhe
2. Tumhare gumraho ko hidayat de de
3. Tumhare jahilo ko aalim bana de.
Aur maine Allah se ye dua bhi mangi hai ke woh tumhe sakhi, bahadur aur raham dil bana de.
Chunanche agar koi aadmi rukun aur maqam e ibraheem ke darmiyan khada ho kar namaz padhta ho aur rozadaar ho fir wo faut ho jaye lekin wo Muhammad ﷺ ke ahle bait se bughz rakhta ho toh wo dozakhi hai.
Al Mustadrak lil Hakim, hadees- 4712. Ise Imam Hakim, Imam Zahabi, Al-Albani aur Shaykh Zubair ali zai ne sahih karaar diya hai. [scan]
۩ Umar r.a. ne bayan kiya ke Abu Bakr r.a. kaha karte the ki Nabi ﷺ ki khushnudi ko Aap ke ahle bait ke sath (muhabbat o khidmat ke zarye) talaash karo.
Sahih al Bukhari, kitab fazail ashaab an nabi ﴾62﴿, hadees- 3751.
Allah se dua hai ki wo hame ahle bait se muhabbat rakhne ki taufeek ata kare. aameen.
Post a Comment