اقرأ باسم ربك الذي خلق

13 Jul 2019

Ahraam ki Haalat Me Khwateen ke Liye Afghani Naqaab Pahanne ka Hukm


 Sawal 

Khawateen ke liye ahraam ki haalat me afghani naqaab pahanne ka kya hukm hai? Yeh naqaab mukammal taur par chehre ko dhak deta hai, is me sirf aankhon ki taraf bareek kapde ka istemaal kiya jata hai, aur ye bareek kapda mustaqil taur par laga rahta hai jise khola nahi ja sakta.

 Jawab 

Alhamdullillah.. 

Khawateen ko ahram ki haalat mein naqaab ya burqa pahanne se mana kiya gaya hai, jaise ke Imam Bukhari r.h. ne (1741) Ibn Umar r.a. se riwayat kiya ke Aap ﷺ ne farmaya,

Ahraam ki haalat me aurat naqaab mat pahne aur na hi dastaane zaib tan kare.

۩ Ibn Qudamah r.h. kahte hai:

“Ibn Munzir ne kaha, Saad, Ibn Umar, Ibn Abbas, aur Ayesha r.a. se burqa ke baare me karahat saabit hai, aur hm kisi aise ahle ilm ko nahi jaante jinhone unki mukhalfat ki ho, lekin agar qareeb se mardo ke guzarne ki wajah se chehra dhaanpne ki zarurat pade toh apne sar ki janib se apne chehe par kapda latka le, yeh baat Usman aur Ayesha r.a. se manqool hai, aur is baat ke qaayeleen me Ata, Malik, Sauri, Shafi, Ishaq, Mohammad bin al Hasan, shaamil hai, aur hame is baare me kisi ikhtilaaf ka bhi ilm nahi hai, is liye ke Ayesha r.a. kahti hai ke: 'Kaafile hamare qareeb se guzarte aur ham Rasoolullah ﷺ ke sath ahraam me the, chunanche jab woh hamare qareeb aate toh ham apni chadaro ko sar se chehre par latka lete the, aur jab woh guzar jaate toh fir se ham chehra khol dete the.' Ise Abu dawud ne riwayat kiya hai.”

Al-Mughni (3/154).

Mazkurah baala dalail ki bina par ahraam waali khawateen apne chehre ko dhakne ke liye sar se kapra latkaengi, aur naqaab ya burqa ka istemaal nahi karengi, aur na hi afghani naqaab istemaal karengi, is liye ke hame pata chala hai ke woh bhi burqa ki tarha hota hai, is liye khwateen ke liye ahraam ki haalat me use pahenna durust nahi hai.

wa Allaho aalam.

Allah se dua hai ki wo hame aur hamare waledain ko hajj karne ki taufeek ata kare. aameen.

•٠•●●•٠•

source: islamqa.info [edited without changing the meaning of the article.]