اقرأ باسم ربك الذي خلق

27 Jul 2019

Nabi ﷺ Ki Aulaad

 Sawal 

Nabi ﷺ ke kitni bete-betiya aur kis biwi se thi?

 Jawab 

Alhamdulillah..

Nabi ﷺ ki aulaad me bete aur betiya jin me sab se pahle 'Qaasim' the jo ke bachpan me hi faut ho gaye the, aur ye bhi kaha jata hai ke woh sawari par sawaar hone ki umar tak zinda rahe, un ke baad Zainab r.a. hai aur ye bhi kaha jata hai ke yeh Qaasim se badi thi.

Fir un ke baad Ruqayyah, Umme Kulsoom aur Fatimah hai, aur har ek ke baare me kaha gaya hai ke wo apni dusri baheno se badi thi.

Ibn Abbas r.a. se bayan kiya gaya hai ke Ruqayyah r.a. teeno se badi thi, aur Umme Kulsoom r.a. sab se choti thi.

Fir Nabi ﷺ ke yaha Abdullah r.a. ki paidaish hui, aur is me ikhtilaf hai ke aaya woh Nubuwat se pahle paida hue ya ke woh baad az nabuwat, aur baaz ne ise sahih karaar diya ke woh Nubuwat ke baad paida hue.

Aur is me bhi ikhtilaf hai ke aaya Abdullah hi Taaahir aur Tayyib hai ya ke woh dono dusri aulad hai. Is me do qawl hain, aur sahih yahi hai ke yeh dono Abdullah ke laqab hai. wa Allaho aalam.

Aur ye sab ke sab Khadija r.a. ki aulaad hai, aur kisi dusri biwi se Nabi ﷺ ka koi bachha paida nahi hua, fir Nabi ﷺ ke yaha un ki laundi Maariyah al-Qibtiyyah se aathwi hijri me Ibraheem paida hue.

Zaad al-Ma’aad, 1/103.

Toh is tarha sahih yeh hai ke Nabi ﷺ ki aulaad ki tadaad saat hai jin me teen bete aur chaar betiya thi. Beto ke naam ye hai:

1. Qaasim

2. Abdullah

3. Ibraheem

Betiyo ke naam ye hai:

1. Zaynab

2. Ruqayyah

3. Umme Kulsoom

4. Fatimah

Nabi ﷺ ki beti Fatimah r.a. ke alawa baaki saari aulaad Nabi ki zindagi me hi faut ho gaye the, sirf Fatimah r.a. Nabi ﷺ ke baad faut hui.

•٠•●●•٠•