Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

6 Jul 2019

Salaf ke Faham se Deen Samajhna


Salaf as saaleh yaani nek aslaaf. Salaf me teen zamane ke logo ko shumaar kiya jata hai, Sahaba, Tabaeen aur Tabe-Tabaeen.

Salaf ke fahm se deen samajhne se murad ye hai ki ham salaf ke raaye aur unke amal se deen ko samajhte hai jab tak ke unki raaye kitab wa sunnat ke khilaf na jaye. Ye isliye kyuki wo behtareen zamane ke log the, jaisa ki Rasoolullah ﷺ ne ek hadees me farmaya hai,

۩ Abdullah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Sabse behtareen log mere zamane ke hai (RasoolAllah aur sahaba), aur fir wo jo iske baad ayenge (tabaeen), aur fir wo jo uske baad ayenge (tabe-tabaeen).”

Sahih al Bukhari, Kitab Ar Riqaaq ﴾81﴿, hadees- 6429.

Lekin iska ye bilkul matlab nahi hai ki hamare aslaaf se galti nahi ho sakti. Deen me sirf ek hi insan hai jisse galti nahi ho sakti aur wo hai Allah ke Rasool. Unke alawa koi bhi insan nahi hai jisse deen ke masle me galti na ho sake. Isi talluq se Imam Malik ka qawl hame milta hai jo khud ek salaf hai:

۩ Imam Malik (tabe-tabaeen) farmate hai:

“Mai sirf ek insaan hu, kabhi meri baat sahih hoti hain aur kabhi galat, toh tum meri us baat ko jo Quran aur Hadees ke mutabik ho le liya karo aur us baat ko jo is ke khilaf ho chor diya karo.”

Ibn Abdul Barr, Jaami Bayaan al-Ilm (2/32).

Baaz log aese hai jo salaf ke tarike par chalne me gulu kar jaate hai aur wo baaz auqat salaf ke qawl ko Quran ki ayato aur hadees ke muqable me pesh karte hai. Ye jahalat hai aur salaf ki Taqleed hai. Ham salaf ke qawl ko bas wahi tak tasleem karte hai jab tak salaf ki raaye ya amal kisi ayat ya sahih hadees ke khilaf na jaaye.

۞ Is Mauzu par ek misaal

۩ Muslim Ibn Ibraaheem kahte hai:

Hishaam Ad-Dastawaa’ee r.h. (Tabaeen) kabhi bhi raat se lekar subah tak apna charag baahar nahi rakhte the aur ye kaha karte the, “Jab bhi andhera hota hai, mai kabr ke andherapan ke bareme sochne lagta hu.”

Al-Hilyah, 6/221.

Lekin Rasoolullah ﷺ ne sone se pahle charag bujhane ka hukm diya hai.

۩ Jabir bin Abdullah r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya ke raat ki jab ibtida ho ya (Aap ne farmaya ) jab shaam ho toh apne bachho ko rok lo (aur ghar se bahar na nikalne do) kyunke is waqt shaitan fail jaate hai fir jab raat ki ek ghadi guzar jaaye toh inhe chor do aur darwaze band kar lo aur is waqt Allah ka naam lo kyunke shaitan band darwaze ko nahi kholta aur Allah ka naam le kar apne mashkeezo (waterskin) ka mun baandh do. Allah ka naam le kar apne bartano ko dhaak do, khwah kisi cheez ko is par rakh kar hi dhak sako aur apne chirag (sona se pahle ) bujha diya karo.

Sahih al-Bukhari, kitab al shurbat ﴾74﴿, hadees- 5623.

Toh ab ek eemaan wale ko salaf ke qawl ko chor dena chahiye aur hadees par wapis aa jana chahiye kyuki jab hadees mil jaye toh wahi hamara mazhab hai. Aur Quran me Allah ka yahi hukm hai,

۩ Aur (dekho) kisi momin mard ya kisi momin aurat ko ye haq nahi hai ki jab Allah aur uska Rasool kisi muamle ka faisla kar de to fir use apne us muamle me khud faisla karne ka ikhteyar hasil rahe. (yaad rakho ) Allah taala aur us ke Rasool ki jo bhi nafarmani karega woh saaf gumrahi me padega.

Quran, surah al ahzab ﴾33﴿, ayat-36.

•٠•●●•٠•

Post a Comment