en ur hi |
۞ Takbeerat ke Alfaaz
Ulema e karaam ke in Takbeerat ke alfaz ke mutallik ikhtilaf hai,
1. Pahli raaye ke mutabik Takbeer ke alfaz:
Allahu akbar, Allahu akbar, laa ilaaha ill-Allah, Allahu akbar, Allahu akbar, wa lillaahi’l-hamd.
2. Dusri raaye ke mutabik Takbeer ke alfaz:
Allahu akbar, Allahu akbar, Allahu akbar, laa ilaaha ill-Allah, Allahu akbar, Allahu akbar, Allahu akbar, wa lillaahi’l-hamd.
3. Teesri raaye ke mutabik Takbeer ke alfaz:
Allahu akbar, Allahu akbar, Allahu akbar, laa ilaaha ill-Allah, Allahu akbar, Allahu akbar, wa lillaahi’l-hamd.
(In teen maise) koi bhi alfaaz takbeerat ke liye ap kah sakte hai kyunke Nabi ﷺ se takbeerat ki koi khaas alfaz riwayat nahi hai.
۞ Takbeerat ka Waqt
Takbeerat ki Do kisme hai:
1. Kisi bhi waqt ki Takbeer: Yaani jin ke liye koi khaas waqt muqarrar nahi hai, balke har waqt, subah wa shaam, namazo se pahle aur baad me, kisi bhi lamhe kahi ja sakti hai.
2. Khaas waqt ki Takbeer: Yaani woh Takbeerat jo sirf namazo ke baad kahi jati hai.
Chunanche kisi bhi waqt ki takbeer Zul hijja ke pahle 10 din, aur ayyaam e tashreek ke dauraan kisi bhi waqt kahi ja sakti hai, jiska waqt Zul hijjah ki shuruat hi se shuru ho jayega (yaani, Zul Qadah ke aakhri din suraj gurub hone ke baad waqt shuru ho jayega) aur ayyaam e tashreek ke aakhir tak jaari rahega (yaan, 13 Zul hijjah ke din suraj guroob hone tak).
Jab ke khaas waqt ki takbeerat ka waqt Arfah ke din fajr se shuru hokar aakhri yaum e tashreek ke aakhri din suraj gurub hone tak rahta hai.
Is dauraan kisi bhi waqt ki takbeer bhi kahi jayengi. Chunanche jis waqt Imam farz namaz se salaam fer kar teen baar 'AstaghfiruAllah' kahne ke baad, 'Allahumma anta al-salaam wa minka al-salaam, tabaarakta yaa za’l-jalaali wa’l-ikraam' kah le toh takbeerat kahega.
Yeh Hajj na karne waale ke liye hai, rahi baat Hajj karne waalo ki toh wo Yaum un nahar [10 Zul hijjah] ki zohar se shuru karenge.
Aur Allah sabse behtar janta hai.
•٠•●●•٠•
source: Islamqa.info
Post a Comment