اقرأ باسم ربك الذي خلق

8 Sept 2019

Ashura ki Namaz


 Sawal 

Hamare muashre me kuch log 10 Muharram ko Ashura ki namaz padhte hai. Kya aesi koi namaz hamare deen me hai? Maherbani farma kar is mauzu par roshni daale.

 Jawab 

Alhamdulillah..

Maah e Muharram bahut hi azeem aur ba-barkat maheena hai. Ye maheena hijri saal ka pahla aur hurmat waale maheeno me se ek hai, jin ke baare me Allah taala ka farmaan hai:

'Haqeeqat yeh hai ke mahino ki tadaad jab se Allah ne aasmaan o zameen ko paida kiya hai, Allah ki kitab me baara (12) hi hai, aur in me se chaar hurmat waale (mahine) hai. Yahi thik zaabta hai lihaza in chaar (4) mahino me apne upar zulm na karo.'

Surah Tawba ﴾9﴿, ayat- 36.

Jaha tak ashure ki namaz ki baat hai toh hamare deen me aesi koi namaz nahi hai jo kitab ya sunnat me maujud ho. Ashure ki namaz aesi namaz hai jise na Rasoolullah ﷺ ne padhi, na hi kisi sahabi ne aur na hi hamare chaar imam ne. Lihaza ye deen me nayi baat shamil karna hai. Aur Deen me nayi baat shamil karna gumrahi hai jo jahannam me le jati hai.

۩ Ayesha r.a. riwayat karti hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Jisne hamare is deen me kuch aisi baat shamil ki jo usme se nai hai toh wo amal mardud hai.'

Sahih al bukhari, book of peacemaking ﴾53﴿, hadees- 2697.

۩ Jabir bin Abdullah r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'.. Sabse behtareen tareeqa Muhammad ﷺ ke tareeqa hai. Sabse badtareen kaam (Deen me) nayi-nayi baato ka paida karna hai, aur har biddat gumrahi hai.'

Sunan ibn majah, kitab as sunnah (muqaddamah), hadees- 45. Ise darussalaam ne sahih karaar diya hai.

Lihaza hame deen me nayi baat shamil karne aur us par amal karne se rukna chahiye aur wapis sunnat ke raaste par chalna chahiye.

Kuch log kah sakte hai ki namaz hi toh padhte hai, koi galat kaam thodi hai ki ye gunah hoga. Toh iske jawab me guzarish hai ki Allah aur uske Rasool ki nafarmani bhi toh gunah hai, chahe wo zahiri taur par sawaab ka kaam lage.

Misaal ke taur par Magrib ki farz rakat 3 hai. Ab koi kahe ki mai 1 rakat zyada padhna chahta hu 4 rakat, aur fir kahe namaz hi toh zyada padhi gai hai koi gunah ka kaam thodi kiya gaya hai. Ji ye bilkul gunah hai kyuki Apne Allah ke Rasool ke khilaf kaam kiya hai, unhone 3 padhne ko kaha tha aur ap 4 padh rahe hai. Ap ko namaz padhne ke liye gunah nahi milega lekin Rasool ke hukm ke khilaf kaam karne ka gunah milega.

۩ Sa'id Ibn al Musayyib r.h. (Tabaeen) ne ek shaks ko suraj tulu hone ke baad do rakat se zyada padhte hue dekha, sajda aur ruko me izafa karte hue, toh unhone use mana kiya ye karne se. Us shaks ne jawab diya: 'Aye Aba Muhammad, kya Allah mujhe namaz padhne ke liye saza dega? Unhone kaha: 'nahi, Lekin Wo Tumhe Sunnat Se Ikhtilaf Karne Ke Liye Saza Dega'.

Sunan al kubra, 2/466.

۩ Sahl bin Sa'd r.a. riwayat karte hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'(Qayamat ke din) Mere kuch saathi hauz e kausar par mere saamne laaye jayenge aur mai unhe pahchan lunga lekin fir woh mere samne se hata diye jayenge. Mai is par kahunga ki yeh toh mere saathi hai. Lekin mujh se kaha jayega ke Aap ko maloom nahi ke unhone aap ke baad kya kya nayi cheeze ijaad kar li thi.
Is par mai kahunga ke dur ho woh shakhs jis ne mere baad deen me tabdeeli kar li thi.'

Sahih al bukhari, kitab ur-riqaaq, ﴾81﴿, hadees- 6582, 6584.

Mazeed dalail ke liye ye article padhe: https://www.iqrakitab.com/2017/12/biddat.html

Lihaza hame chahiye ki ham sunnat se muhabbat kare aur biddat yaani gair-nabi ke tarike se parhej kare taaki ham qayamat ke din Rasoolullah ﷺ ki sifarish ke haq-daar ho sake.

Allah se dua hai ki wo hame sirat e mustaqeem ata kare. aameen.

•٠•●●•٠•

Related: Ashura Ka Roza