Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

11 Dec 2019

Khula ke Baad Iddat kaha Guzaare?

en   -
Alhamdulillah..

Bunyadi usool ye hai ki jis aurat ka Talaq e ba'in (irrevocably divorced) hua hai ya jisne khula liya hai wo apni iddat maaike me guzaaregi. Lekin agar ye mumkin na ho toh wo apni iddat kahi bhi guzaar sakti hai jaha par wo mahfooz rah sakti ho.

Agar uska pichla shuhar jisne use talaaq diya hai use ijazat de deta hai ki iddat khatm hone tak wo apne sasural me rahe, toh isme koi harj nahi hi, ek shart par ki wo waha par mahfooz rah sakti ho aur uske paas aesi rahne ki jagah ho jo uske pichle shauhar ke rahne ke jagah se bilkul alag ho.

۩ Ibn Qudaamah kahte hai,

'Jis khwateen ka Talaaq e ba'in hua hai wo iddat kahi par bhi guzaar sakti hai jaha wo chahti ho'.

Al-Kaafi, 3/207.

•٠•●●•٠•

source: islamqa.info
Faisal Khan said...

Talaq e ba'in ka matlab Aisi Talaaq jis k baad Rujoo ka raasta na ho, Yani full and final, after Talaq ul Marrataan (Do Talaaq ke baad).

Post a Comment