Nabi e kareem ﷺ ke Baareme Mukhtasar Haalaat e Zindagi
۞ Naam Wa Nasab
Sayyidna Abu Qasim Muhammad bin Abdullah bin Abdul Muttalib (Shaibah) bin Hashim (Amr) bin Abdi Manaaf (al-Mughairah) bin Qusai (Zaid) bin Kilaab bin Murrah bin Ka'ab bin Luayi bin Ghalib bin Fahr bin Malik bin Nazar bin Kinanah bin Khuzaimah bin Mudrikah (Aamir) bin Ilyaas bin Muzar bin Nizaar bin Ma'ad bin Adnaan, Ismail bin Ibraheem ki aulaad me se.
Aap ki walidah ka naam Aamina bint e Wahab bin Abdi Manaaf bin Zuhrah bin Kilaab bin Murrah hai.
۞ Wiladat
Maahe Rabi al Awwal (571 eeswi) baroz somwaar (jis saal Abraha kafir ne apne haathi ke sath makkah par hamla kiya tha aur Allah ne use uski fauj samet tabah kar diya tha) Aap ki wiladat hui.
Aap ke waalid Abdullah, aap ki paidaish se taqreeban mahina ya do mahine pahle faut hue, (dekhe: Seeratun Nabawiyah lil Zahabi, safa- 49) aur jab aap saat (7) saal ke hue toh Aap ki walidah faut ho gayi fir aap ke dada Abdul Mutallib ne Aap ki parwarish ki aur jab aap aath (8) saal ke hue toh Abdul Mutallib bhi faut ho gaye, un ki wafaat ke baad aap ke chacha Abu Taalib ne aap ko apni kifaalat me le liya.
۩ Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
دعوة أبي إبراهيم و بشارة عيسى بي و رؤيا أمي التي رأت
“Main apne aaba (dada) Ibraheem a.s. ki dua aur (bhai) Eesa a.s. ki basharat (khush khabri) hu aur apne maa ka khawab hu jise unhone dekha tha.”
Musnad Imam Ahmed, 4/127, hadees- 17150. Iski sanad hasan (li zaatihi) hai.
۞ Hulya Mubarak
Aap ﷺ ka chehra chand jaisa (khoobsurat, surkhi maayil safeed aur pur noor) tha, Aap ka qad darmiyaana tha aur Aap ke sar ke baal kaano ya shaano tak pahunchte the.
۞ Nikah
Sayyidah Khadijah bint e Khuwaylid bin Asad bin Abdul Uzzah bin Qusai r.a. se aap ki shadi huwi aur jab tak Khadijah r.a. zinda rahi, Aap ne dusri shadi nahi ki.
۞ Bete
Qasim, Tayyab, Taahir (aur Ibraheem).
۞ Betiya
Ruqiyah, Zainab, Umme Kulsum aur Fatimah.
۞ Pahli Wahi:
Gaar e Hira me Jibreel e Ameen a.s. tashreef laaye aur surah Alaq ki pahli teen aayaat ki wahi aap ke paas laaye; 610 eeswi [us waqt aap ki umar chalees (40) saal thi].
۞ Aam ul Huzn:
Hijrat e Madinah se teen saal qabl Abu Taalib aur Sayyidah Khadijah r.a. faut ho gaye.
۞ Hijrat
622 eeswi mein aap apne azeem saathi Sayyiduna Abu Bakr as Siddique r.a. ko le kar Makkah se hijrat kar ke Madinah Tayyaba tashreef le gaye.
۞ Makki Daur
Rasoolullah ﷺ nabuwat ke baad Makkah me terah (13) saal rahe.
۞ Madani Daur
Aap ﷺ hijrat ke baad Madinah me das (10) saal rahe aur fir wafaat ke baad Ar-Rafiq al-Aala ke paas tashreef le gaye.
۞ Gazwa e Badr
2 hijri ko badr Islam aur kufr ka pahla bada marakah hua jis me Abu Jahal maara gaya.
۞ Gazwa e Uhad
3 hijri, is gazwe me sattar ke qareeb sahaba e karaam maslan, Sayyidna Hamzah bin Abdul Mutallib r.a. shaheed hue aur Rasoolullah ﷺ zakhmi hue.
۞ Ghazwa e Khandaq
5 hijri (ahzaab e kuffaar ne Madinah par hamla kiya aur naakaam wapas gaye.
۞ Sulah Hudaibiyah
6 hijri, iska zikr Quran e majeed me bhi hai.
۞ Ghazwa E Khaibar
7 hijri, khaibar fateh hua.
۞ Fateh Makkah
8 hijri, Makkah fateh hua aur Rasoolullah ﷺ ne Ahle Makkah ko muaf kar diya. is saal ghazwa e Hunain bhi hua tha.
۞ Ghazwa E Tabook
9 hijri.
۞ Hajjatul Widaa
10 hijri
۞ Dawat
Qur'an, Hadees, Tawheed aur Sunnat, Aap ki dawat hai, aap ne logo ko shirk wa kufr ke ghata-taup andhero se nikaal kar Tawheed wa Sunnat ke noraani raaste par gaamzan kar diya.
Aap ﷺ ne farmaaya:
“Musalmaan musalmaan ka bhai hai, na us par zulm karta hai aur na us par zulm hone deta hai.”
(Sahih Bukhari, 2442, Sahih Muslim: 2580)
۞ Akhlaaq
Aap ﷺ akhlaaq ke sab se a'ala darje par faayiz they:
۩ Irshaad e baari taala hai:
وإنـك لـعـلى خـلـق عــظيــم
'Aur Aap (ﷺ) azeem akhlaaq par faa'iz hai.'
Surah Qalam, 4.
۩ Aap ﷺ ne farmaaya:
أكمل المؤمنين إيمانًا احسنهم خلقًا وخياركم خياركم لنسائهم خلقًا
'Momino me mukammal eemaan waale wo hai jin ke akhlaak achhe hai aur tum me se behtareen log wo hai jo apni aurato se achhe akhlaaq ke sath pesh aate hai.'
Jamia Tirmizi, 1162, Ye hasan sahih hai.
۞ Muallim E Insaaniyat
Ek Sahabi r.a. farmate hai, 'Maine Aap ﷺ se behtareen mu'allim (ustaad) achhe tareeqe se taleem dene waala kisi ko nahi dekha, na pahle aur na baad, Allah ki qasam! Aapﷺ ne mujhe na daanta, na maara aur na bura bhala kaha.
Sahih Muslim, 537.
Sahih Muslim, 537.
۞ Mu'aamalaat
Aap ﷺ ne farmaaya:
إن خـيـاركـم احـسـنـكـم قـضـاء
Tum me se behtareen log wo hai jo behtar tareeqe se qarz ada kare.
Sahih al Bukhari, 2305. Sahih Muslim, 1601.
Mazeed farmaaya:
دع ما يريبك إلى ما لا يريبك فإن الصدق طمأنينة وإن الكذب ريبة
Shak waali cheez ko chhor do aur yaqeen waali cheez ko ikhtiyaar karo kyunke yaqeenan sachhai itminaan hai aur jhoot shak wa shubah hai.
Jamia Tirmizi, 2518, Ye hadees sahih hai.
۩ Nabi ﷺ ne kabhi kisi khane mein nuks nahi nikaala, agar pasand farmaate toh kha lete aur agar pasand na farmate toh chor dete the.
Sahih al Bukhari, 5409.
Sahih al Bukhari, 5409.
۞ Wafaat
11 hijri baroz saumwar, maahe rabiul awwal me Rasoolullah ﷺ khaatimun nabiyeen wa rahmatullil aalameen is duniya se tashreef le gaye, us waqt aap ki umar mubarak 63 saal thi.
صلى الله عليه و آله وأصحابه وأزواجه وسلم
•٠•●●•٠•
source: Ishaatul hadees, shumarah- 63, safa- 34-36.
Kitna khubsurat hai aap ka kirdaar ﷺ
Chehre par tabassum bhi aagaye.. Aankho me aasu bhi aa gaye...
Post a Comment