Alhamdulillah..
۞ Pahla Fayda
Sunnat (nawafil) namaz Qayamat ke din farz namaz ke kami ko pura karegi.
۩ Hurais bin Qabisah riwayat karte hai ki,
Mai Madeene aaya, mai ne kaha, Aye Allah mujhe nek aur saaleh saathi naseeb farma, chunanche Abu Hurairah r.a. ke paas baithna muyassar ho gaya, Maine un se kaha, 'Maine Allah se dua mangi thi ke mujhe nek saathi ata farma, toh Ap mujhse koi aisi hadees bayan kijiye, jise Ap ne RasoolAllah ﷺ se suni ho, shayad Allah mujhe isse faida pohnchaye.' Unhone kaha, Maine RasoolAllah ﷺ ko farmate suna hai, 'Qayamat ke roz bande se sab se pahle uski namaz ka hisab hoga, agar woh thik rahi to qamyab ho gaya, aur agar woh kharab nikli toh woh nakaam aur namuraad raha, aur agar uski farz namazo me koi kami aayi hogi toh Rab ajjowa (farishto se) farmayega, dekho, mere is bande ke paas koi nawafil namaz hai? Chunanche farz namaz ki kami ki talaafi us nawafil se kar di jayegi, fir isi andaz se saare aamaal ka hisab hoga.'
Jamia Tirmizi, kitab as salaat ﴾2﴿, hadees- 413. Imam Tirmizi ne iski sanad ko hasan gareeb aur Darussalaam ne is hadees ko sahih karaar diya hai.
۞ Dusra Fayda
Sunnat namaz se ghar me barqat aati hai.
۩ Jabir r.a. riwayat karte hai ki Nabi e Akram ﷺ ne farmaya,
‘Jab tum masjid me namaz padho to namaz ka kuch hissa (sunnate) apne gharo me padho, Allah is namaz ke sabab ghar me khair o bhalaai dega.’
Sahih Muslim, Salatul Musafireen (6), hadees- 1822.
۞ Teesra Fayda
Nawafil ibadat Allah ki nazdeeki hasil karne ka zarya hai.
۩ Abu Huraira r.a. se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya ki Allah Subhanahu wa tala farmata hai,
.. Aur mera banda farz ada karne ke baad Nawafil ibadat kar ke mujhse itna zyada nazdeek ho jata hai ki mai us se muhabbat karne lag jata hu, fir jab mai us se muhabbat karne lag jata hu toh mai uska kaan (ear) ban jata hu jis se wo sunta hai, uski aankh ban jata hu jis se wo dekhta hai, uska haath ban jata hu jis se wo pakadta hai, uska paao (leg) ban jata hu jis se wo chalta hai.
Aur agar mujhse maangta hai to mai use deta hu, agar wo kisi dushman ya shaitan se meri panaah ka talib hota hai toh mai use mahfooz rakhta hu aur mai jo kaam karna chahta hu us me mujhe itna taraddud (hesitation) nahi hota jitna ki mujhe apne momin bande ki jaan nikalne me hota hai wo toh maut ko pasand nahi karta aur mujhe bhi usko takleef dena achcha nahi lagta.
Sahih al Bukhari, kitab ar riqaq (81), hadees- 6502.
•٠•●●•٠•
Post a Comment