اقرأ باسم ربك الذي خلق

7 Jan 2020

Teen (3) Rakat Witr Padhne ka Nabawi Tarika


۩ Ubai  bin Ka'ab r.a. bayan karte hai,

“Rasoolullah 3 rakat witr ada farmate the, Pahli rakat me surah A'ala, dusri rakat me surah Kafiroon aur teesri rakat me surah Ikhlas ki tilawat farmate the, Aap Ruku se pahle Qunoot karte, jab farigh  hote toh  3 martaba 'Subhan al Malikul Quddus Padhte, aakhri martaba (ye padhte hue) apni aawaz ko lamba farmate the.”

Sunan Nasai, hadees- 1700, Sunan Ibn Majah, hadees- 1182. Ise Darussalaam ne sahih karaar diya hai.

Is Hadees maloom hua ki:

3 rakat witr me pahli rakat me surah A'ala, dusri rakat me surah kafiroon or teesri rakat me surah Ikhlas padhni hai aur Dua e Qunoot Ruku se pahle padhni hai yaani Surah Ikhlas ke baad.

۞ Dua e  Qunoot

Sayyidina Hussain bin Ali r.a. bayan karte he ki Rasoolullah ﷺ ne mujhe Witr me padhne ke liye ye dua sikhayi:

اللَّهُمَّ اهْدِنِي فِيمَنْ هَدَيْتَ وَعَافِنِي فِيمَنْ عَافَيْتَ وَتَوَلَّنِي فِيمَنْ تَوَلَّيْتَ وَبَارِكْ لِي فِيمَا أَعْطَيْتَ وَقِنِي شَرَّ مَا قَضَيْتَ إِنَّكَ تَقْضِي وَلاَ يُقْضَى عَلَيْكَ وَإِنَّهُ لاَ يَذِلُّ مَنْ وَالَيْتَ وَلاَ يَعِزُّ مَنْ عَادَيْتَ تَبَارَكْتَ رَبَّنَا وَتَعَالَيْتَ- [pic]

“Allaahumma ahdini feeman hadayt wa aafini feeman aafayt wa tawallani feeman tawallayt wa baarik li feema aatayt, wa qini sharra ma qazayt , fa innaka taqzi wa la yuqza ‘alayk, wa innahu laa yazillu maw waalayta, wa laa ya’izzu man ‘aadayt, tabaarakta Rabbana wa ta’aalayt.”

Tarjuma:

Ya Allah! Mujhe hidaayat dekar un logo me shamil farma jinhe tune rushd o hidaayat se nawaaza hai aur mujhe aafiyat dekar un logo’n mein shamil farma jinhe tune afiyat bakshi hai aur jin logo ko tune apna dost banaya hai un me mujhe bhi shamil karke apna dost banaale. Jo kuch tune mujhe ataa farmaya hai is me mere liye barkat daal de aur jis sharr o burai ka tune faisla farmaya hai us se mujhe mahfooz rakh aur bachaale.

Yaqeenan tu hi faisla saadir farmata hai tere khilaaf faisla saadir nahi kiya jaa sakta aur jiska tu dost banaa wo kabhi zaleel o khwaar aur ruswa nahi ho sakta aur wo shaqs izzat nahi paasakta jise tu dushman kahe, Aye hamaare Rab! Tu (bada) hi barkat wala aur buland o baala hai.

Sunan Abu Dawud, kitab al salaat ﴾8﴿, hadees- 1425. Al-Albani ne ise sahih karaar diya hai.

(Sunan Abu Dawood: 1425, Sunan Tirmizi: 464, Sunan Nasai: 1746, Sunan Ibn majah: 1778, Musnad Imam Ahmad: 1/199, Sunan Darmi: 1663, Al Dua Lit Tabrani: 748)

۞ Ab witr ki 3 rakat kis tarah padhi jaye usme 2 tarike mashoor hai:

Pahla ye ki Dusri Rakat ke baad betha na jaye balki dusri rakat ke baad sidhe teesri rakat ke liye khade ho jaaya jaaye.

Ye Tarika Nabi ﷺ se sabit nahi hai

Iske Mutalliq Sunan Nasai ki ek Riwayat pesh ki jati he jo Ubay bin Ka'ab r.a. se riwayat hai ki 'Rasoolullah ﷺ Witr ki Pahli rakat me surah Aala, dusri rakat me surah kafiroon aur teesri rakat me surah Ikhlas ki tilawat farmate the, sirf aakhri rakat me salaam ferte the aur salaam ke baad 3 martaba 'Subhan Al Malikul Quddus' Padhte, aakhri martaba apni aawaz ko lamba farmate the.'

Sunan Nasai, hadees- 1702.

Ye riwayat zaif hai, iski sanad me Qatadah Mudallis raawi hai aur Unki 'An' Riwayat hone ke bina par Ye zaif hai. 

Dusri riwayat jo pesh ki jati hai ki Ayesha r.a. bayan karti hai ki 'Rasoolullah ﷺ Jab Isha ki namaz ada farma kar ghar me dakhil hote to 2 rakat padhte fir usse bhi lambi 2 rakat padhte the fir 3 witr ada farmate the. Unme salaam fer kar faasla na karte fir 2 rakat baith kar ada farmate ruku aur sujood bhi baith kar ada farmate.'

(Musnad Ahmad: 6/155-156)

Is riwayat ki sanad Hasan Basri ki Tadlees ki wajah se zaif hai.
Isi Tarah ki riwayat Sunan Nisai, Sunan Darmi, Musnad Shafai wagairah se bhi pesh ki jati he jo ki sanad ke lihaj se sabit nahi.

3 rakat ko ek salaam se ada karne waale hazraat 5 ya 7 witr waali riwayat ko 3 rakat par qayaas karte hai aur sahaba ke aasaar pesh karte hai lekin marfu riwayat ke muqable me sahaba ke aasaar pesh karne se sirf jawaaz sabit hoga sunnat nahi.

Aur iske alawa Ibn Hibban aur Darqutni ki riwayat jisme Nabi ﷺ ne farmaya hai (ولا تشبهوا بصلاة المغرب) 'Witr ki Namaz ko Magrib ke Mushabeh na karo.' Isse ye qiyas kiya jata hai ki 3 rakat ek salaam padhne se maghrib ki Mushbehat nahi hoti hai lekin unka ye qiyas sahih nahi kyuki 3 Rakat Witr ko Maghrib se mushabeh kis tarah nahi karna hai uski bhi daleel hame Nabi ﷺ se Mil jati hai Jisme 2 Rakat padh kar salaam ferne aur 1 Rakat alag se padhne ka zikr hai. Aur 3 takat witr ka sunnat tarika bhi yahi hai

۩ Ammi Ayesha r.a. bayan karti hai ki, 'Namaz e Isha Jise log A'tmah kahte hai aur Fajr ki namaz ke Darmiyan me Nabi 11 Rakat ada kiya karte the, Aap ﷺ har 2 rakat ke darmiya salaam ferte aur 1 Witr ada kiya karte the.'

(Sahih Muslim: 122/736)

Ye Hadees is baat par nas hai ki Nabi 3 rakat witr 2 salaam se hi ada karte the. Iske alawa aur bhi riwayat ispar dalalat karti hai.

۩ Abdullah bin Umar r.a. bayan karte hai, 'Rasoolullah ﷺ (Witr ki) taaq rakat ke darmiyan salam ke sath faasla karte the aur hame salam ki aawaz sunate the.'

Sahih Ibn Hibban, hadees- 2433, 2435.

۩ Nafi r.a. bayan karte he ki Abdullah bin Umar r.a. witr ki 2 rakato aur 1 rakat de darmiyaan salaam ferte, yahan tak ki kisi kaam ka hukm bhi farma dete.' 

Sahih al Bukhari, hadees- 991, Muwatta Imam malik, 1/125.

Lihaza in riwayat se wazeh hai ki 3 rakat witr ka sahih sunnat tarika yahi hai ki 2 Rakat padh kar Salzam fer liya jaaye aur 1 Rakat ko alag se padha jaye.

۞ Iske alawa Namaz e Witr me ek Masla aur hai ki Qunut e Witr Padhte Waqt hath Uthaye jaye Ya nahi.

Iske mutalliq Shaykh Zubair Ali Zai ka Risala Al Hadees jo ki Rajab 1430 Hijri ko shaya hua tha us Risale ke safa no. 12 par ek sawal kiya gaya tha ki, Namaz e Witr me ruku se qabl Haath Uthaye bagair Qunoot padhne ki kya daleel hai?

Jiske Jawab me Shaykh Zubair Ali Zai ne farmaya tha,

'Namaz e Witr me ruku se pahle Qunoot padhne ka zikr Sunan Darqutni (2/32, hadees- 1644, Wa Sanad Hasan) aur Sunan Nasai (1,248, hadees- 1700) me hai. Dekhye meri kitab Hidayatul Muslimeen (hadees- 28 faidah- 3).

Qunoot e Witr me Hath Uthana kisi sarih marfu Hadees se sabit nahi hai.'

Malum Hua ki Namaz e Witr me ruku se pahle Hath Uthaye bagair Qunoot padhna sahih hai.

Aur Shaykh Zubair ali zai ke Risala Al Hadees jo Jamadil Awwal 1426 Hijri me shaya hua tha Uske Safa No. 13 par ek sawal kiya gaya tha,

Kya Qunoot e Witr me Hath Utha kar dua karna Sabit hai?

Uske jawab me Shaykh Zubair ali zai ne Qunoot e witr me hath na Uthane ki Daleel me ek Riwayat naqal ki:

۩ Abu Hatim al Raazi (277 hijri) farmate hai, 'Abu Zarah (Al Raazi 264 hijri) ne mujhse pucha, 'Kya Aap qunoot me hath uthate ho?

Maine kaha, 'Nahi!' Fir maine unse pucha, 'Kya Aap (qunoot me) Hath utha te ho?' Unhone kaha: Ji han, maine pucha, aapki daleel kya hai? Unhone kah, Hadees ibn Masood.

Mane kaha, use Lais bin Abu Saleem ne riwayat kiya hai. Unhone kaha: Hadees Abu Hurairah, Maine kaha: Use Ibn Lahya ne riwayat kiya hai. Unhone kaha, Hadees Ibn Abbas, maine kaha, Use Aouf (Al aarabi) ne riwayat kiya hai. Toh unhone pucha, aapke pas (Qunoot me) hath na uthane ki kya Daleel hai?

Maine kaha, Hadees e Anas, ki beshaq Rasoolullah ﷺ kisi Dua me Hath Nahi Uthate the siwaye Istisqa ke to wo (Abu Zarah r.a.) Khamosh ho gaye.

Tareekh Baghdaad, Jild 2, Safa- 76 tahet- 455. Wa sanad Hasan, wa Zikruhu Al Zahabi fi Siyar Aalam Al Nubala 13/253).

Ye Riwayat naqat karke Qunoot e Witr me Hath na uthane ki Daleel dene ke baad Shaykh Zubair Ali zai ne un riwayat ki Tahqeeq pesh ki hai aur aakhir me likha hai ki, 'Behtar yahi hai ki Hadees e Anas r.a. aur deegar dalail ki ru se Qunoot me Hath Na Uthaye jaye.

Wallahu Aalam.

•٠•●●•٠•

Upar zikr karda tarika mere mutabik behtar tareeqa hai kitab wa sunnat ki roshni me. Agar apko isse behtar tarike ka ilm ho (kitab/sunnat ki roshni me) toh ap us par amal kare. Allah hame deen samajhne ki taufeeq ata kare. aameen.