اقرأ باسم ربك الذي خلق

8 Feb 2020

Wirasat Me Beti ka Hissa

ur   en   hi
Alhamdulillah..

Beti chahe wo maa ya apne waalid ki waris ho, uske hisse ki kayi ek halatein hain jinhe niche bayan kiya gaya hai,

۩1. Jab ladki akeli ho, yaani iski koi bahen ya bhai [yaani marne wali ki aage ki peedi (generation)] na ho to ladki ko wirasat ka aadha milega, Allah taala ka farmaan hai,

'Aur agar ladki akeli ho toh uske liye aadha hai.'

Surah Nisa (4), ayat- 11.

۩2. Jab ek se zyada ladkiya ho toh (yani do ya do se zyada) aur faut-shuda shakhs ka koi beta na ho toh betiyo ko Do-Tihayi (2/3) mileyga, Allah taala ka farmaan hai,

'Agar aurte do se zyada hai toh unke liye do-tihayi hai us maal se jo mayyat chhor gaya hai.'

Surah Nisa (4), ayat- 11.

۩3. Aur jab ladki ke sath faut-shuda shakhs ka beta bhi waris ho (ek ya ek se zyada) toh har waris ka muqarrar hissa ada kar ke (note-1) baaki maal in dono (ladke-ladki ) ko milega, aur ladki ka hissa iske bhai se aadha hoga (mard ko do aurto ke barabar ke hisaab se) chahe do ya do se zyada bahen-bhai ho toh ladke ko do ladkiyo ke barabar hissa milega, Allah taala ka farmaan hai,

'Allah taala tumhe tumhari aulaad ke mutalliq wasiyat karta hai, ladke ke liye do (2) ladkiyo ke barabar hai.'

Surah Nisa (4), ayat- 11.

Aur ye hisse Allah taala ki janib se taqseem kardah hai lihaza kisi shakhs ke liye bhi is me kuch tabdeeli karni jayaz nahi, aur na hi kisi ke liye jaiz hai ke woh kisi waris ko wirasat se mahroom kare aur na kisi ke liye yeh jaiz hai je woh kisi aise shakhs ko wirasat me dakhil kare jo uske waris nahi, aur na koi kisi waris ke muqarrar karda hissa se kami kar sakta hai aur na hi is ke sharai hisse me zyadati kar sakta hai.

Allah taala hamare nabi Muhammad ﷺ par apni rahmate nazil farmaye.

Wa Allahu aalam.

source: Islamqa

•٠•●●•٠•

Note 1: Yaani jo maal batwaare se pahle dena hai, misaal ke taur par agar mayyat kisi ka karz baaki ho toh sabse pahle wo karz ada kiya jayega aur fir batwaara kiya jayega ladka-ladki me.