Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

23 Mar 2020

Quarantine Reminder

Assalaam alaykum..

Is waqt me apne aur apne family ke alawa Apne aas paas logo ka bhi khyal rakhe.  Ap ke as paas kuch aese log bhi ho sakte hai jinhe lockdown ke wajah se pareshani ka saamna karna pad raha hoga.

Unki jitni help ho sake kare. Ab ye waqt hai ki ap sabit kare ki sirf naam se hi nai balki amal se bhi Ap Musalman hai.

Logo ki zarurate jaise bhi ho, financial, health care, wagaira. Puri koshish kare ki Ap unke kaam aa sake.

۩ Adi bin Hatim r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya,

“Apne ap ko jahannam ke aag se bachao wo kyu na aadhi khajur hi dekar ho aur agar wo bhi nai ho sakta to achhi baat karke.”

Sahih al Bukhari, kitabul zakaat ﴾24﴿, hadith-1417.

۩ Abu Zarr r.a. riwayat karte hai ki Rasool ﷺ ne farmaya ki kisi bhi neki ko kam aham ka na samjho chahe yahi ho ki tum apne bhai ko muskurate hue chehre se milo. 

Sahih Muslim, kitab al birr was silati wal aadaab ﴾45﴿, hadith- 6690.

۩ Huzaifa r.a. se riwayat hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya,

“Gujishta ummaton ke kisi shaksh ki rooh ke paas farishte aaaye aur pucha ki tune kuch achhey kaam bhi kiye hain? Rooh ne jawab diya ki main apne naukaro se kaha karta tha ki wo maaldaar logo ko (jo unke karzdaar hai) mohlat de diya kare aur un par sakhti na kare aur mohtaajon (ka karz) muaf kar diya karein.

Fir farishton ne bhi us se darguzar ki aur sakhti nahi ki.”

Sahih al Bukhari, kitab al buyu ﴾34﴿, hadith- 2077.

۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya:

“Ek fahashah aurat sirf is wajah se baksh di gayi ke wo ek kutte ke qareeb se guzar rahi thi, jo ek quwe ke qareeb khada pyasa bhanp raha tha. Aisa malum hota tha ke wo pyas ke shiddat se abhi mar jayega. Us aurat ne apna mojah nikala aur usme apna dupatta bandh kar pani nikala aur us kutte ko pila diya, to iski bakshish us (neki) ke wajah se ho gayi.”

Sahih Bukhari, kitab bada al khalq ﴾59﴿, hadith- 3321.

۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya,

“Ek shaks raaste ke upar padi hui darakht ki ek shaakh ke paas se guzra toh usne kaha, 'Allah ki kasam mai is shaakh ko musalmano ke raaste se hata dunga taakeh ye un ko nuksan na de toh us shaks ko Jannat me dakhil kar diya gaya.”

Sahih Muslim, kitab al birr was silati wal aadaab ﴾45﴿, hadees- 6670.

Jazakum Allahu khaira

Faisal Khan,
Head Admin, Team Iqra'

Post a Comment