Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

1 Apr 2020

Bimari | Aazmaish ya Azaab?


Sabse pahle to yeh ke koi bhi khudse Ta'ayyiun (decide) nahi kar sakta hai ke ye saza hai ya Rahmat ya Azmaish.

Ek Ayat me Allah s.w.t. farmate hai,

'Tumhe koi bhi takleef ya aazmaish aati hai wo tumhare hatho ki kamai hoti hai'.

Surah Shura (42), ayat- 30.

Dusri Ayat me hai ke,

'Jo bhi musibat aati hai Allah s.w.t. ke izan se aati hai.'

Surah Taghabun (64), ayat- 11.

۩ Abu Said Khudri aur Abu Hurairah r.a. se riwayat hai ke, Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Musalmaan ko ranj, dukh, fikr aur gam pahunchta hai yaha tak ki agar use kaanta bhi chubhta hai toh wo takleef uske gunhaon ka kaffara ban jati hai.'

Sahih al Bukhari, kitab al marazi (75), hadees- 5641, 5642.

✦ Sabaq

Lehaza hame Bimari aur Sehat dono surat e haal me Allah ta’ala ka shukr ada karna chahiye. Bimari Aazmaish bhi hai aur gunaaho ka kaffara bhi. Hame har haal me sabr o shukar ada karna chahiye.

In do (2) kaamo se Allah ta’ala hamare gunaah bhi mita deta hai aur aakhirat me ajar e azeem bhi ata farmata hai.

Allah ta'ala apne bando se bahut mOhabbat karta hai, aur wo apne kisi bhi bande par uski taqat se zyada bOjh nahi dalta.

۩ 'Allah kisi ko uske bardasht se badh kar us par bojh nahi daalta.'

Surah Baqarah (2), ayat- 286.

۩ Sabr karne waalo ko unki mazduri be-hisaab milegi.

Surah Az-Zumar (39), ayat- 10.

۩ Aur unke sabr ke badle unhe jannat aur reshmi libaas diye jaayenge.

Surah Insan (76), ayat- 12.

۩ Aur Allah sabr karne waalo se Muhabbat karta hai.

Surah Aal e Imran (3), ayat- 146.

Har bimari ka ilaj maujood hai, Allah taala ne koi aisi bimari nahi utaari jis ki dawa bhi naazil na ki ho.

Abu Hurairah r.a. se riwayat hai ke Nabi ﷺ ne farmaya,

'Allah taala ne koi aisi bimari nahi utaari jis ki dawa naazil na ki ho.'

Sahih al bukhari, kitab at tibb (76), hadees- 5678.

Kalonji Aur Shahed dono ke fayde ke bare me Quran wa hadees se pata chalta hai.

1. Kalonji

۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki maine Rasoolullah ﷺ se suna,

'Siyah daano (kalonji) me har beemari se shifa hai siwaye Maut ke.'

Sahih al bukhari, kitab at tibb (76), hadees- 5688.

2. Shahed

Shahed ki makhhi ko arabi me nahal kahte hai jiske naam se Quran me puri ek surah maujud hai. Isi baat se andazah lagaya ja sakta hai ki insani zindagi me Shahad ki kya ahmiyat hogi.

Allah rabbuul izzat Quran e muqaddas me irshad farmata hai ki,

'Aur tumhare Rab ne Shahad ki makhhi ko ilhaam kiya ki pahado me aur darakhto me aur log jo chatriya uthate hai, un me apne ghar banao. 
Fir har kism ke falo se apni khuraak hasil kar, fir un raasto par chalo jo tumhare Rab ne tumhare liye aasaan bana diya hai.

Is makkhi ke pet se woh mukhtalif rango wala mashroob nikalta hai jis me logo ke liye shifa hai. Yaqeenan in sab baato me un logo ke liye nishani hai jo sochte samajhte ho.'

Surah Nahl (16), ayat- 69.

Iske alawa kuch Duaye hai jo Ap Bimari me padh sakte hai shifa ke liye,

۩ اللَّهُمَّ أَذْهِبِ الْبَأْسَ رَبَّ النَّاسِ وَاشْفِ فَأَنْتَ الشَّافِي لاَ شِفَاءَ إِلاَّ شِفَاؤُكَ شِفَاءً لاَ يُغَادِرُ سَقَمًا-

Allahumma Azhibil ba'sa rabban naas washfi. Antash shaafee. Laa shifaa-a illaa shifaa-uka. Shifaa-al laa yughaa diru saqamaa.

Aye logo ke Rab! Bimari ko door karde, aur shifa de, Tu hi shifa dene wala hai, aisi shifa ke bimari bilkul na rahe.

Jamia Tirmizi, kitab ad dawaat (48), hadees- 3565. Ise darussalaam ne sahih karaar diya hai

۩ Syedna Usman Bin Abu al Aas Saqafi r.a. kahte hai,

Mai jis din se Musalman hua tha usi din se mere jism ke 1 hisse me dard hota tha. Mai ne is ki shikayat Allah ke Rasool ﷺ se ki to Aap ﷺ ne farmaya,

"Jism me jis jagah dard hai wahaa apna hath rakhho aur teen (3) baar Bismillah kaho fir 7 martaba ye Dua padho:

أَعُوذُ بِاللَّهِ وَقُدْرَتِهِ مِنْ شَرِّ مَا أَجِدُ وَأُحَاذِرُ

'Auzu Billahi Wa Qudratihi Min Sharri Ma Ajidu Wa Uhaziru'

'Mai Allah ki zaat aur us ki qudrat ke sath panah chahta hu is takleef se jo mujhe lahaq hai aur har us takleef se jis se mai bahut darta aur mohtaat rahta hun.'

Sahih Muslim, kitab al salaam (39), hadees- 5737.

Iske alaawa Aap Subah Sham ke Azkaar ki pabandi kijiye. Allah s.w.t. par bharosa rakhye aur Astaghfaar karte rahye.

In shaa Allah Allah s.w.t. jald hi shifa ata karega.

Ham Allah s.w.t. se Dua karte hai ke Allah hame har Bimari se mahfuz rakhe aur sunnato par amal karne ki taufeeq ata farmaye.

JazakAllah khair

Prepared by: A. Sayed
•٠•●●•٠•

Related: Bimari aur Waba (Mahamaari) Se Bachao ki Duae Aur Azkaar

Post a Comment