Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

2 Apr 2020

Dua ke Fazail Aur Masail


Dua ka Lafzi Maana Pukarna Aur Bulana Hai.

۞1. Irshad baari taala hai,

وَ قَالَ رَبُّکُمُ ادْعُوْنِیؔ اَسْتَجِبْ لَکُمْ - اِنَّ الَّذِیْنَ یَسْتَکْبِرُوْنَ عَنْ عِبَادَتِیْ سَیَدْخُلُوْنَ جَھَنَّمَ دٰخِرِیْنَ

“Aur tumhare Rab ne kaha, 'Mujhse Dua maango mai tumhari Dua qubool karunga, beshak jo log meri ibadat (dua) se takabbur karte hai toh woh zaleel wa ruswa hokar jahannam me dakhil honge.”

Surah Momin (40), ayat- 60.

۩ Allah taala ne farmaya:

اُجِیْبُ دَعْوَۃَ الدَّاعِ اِذَا دَعَانِ فَلْیَسْتَجِیْبُوْا لِیْ

“Jab dua karne waala dua karta hai toh mai uski dua qubool karta hun, lihaza mujh se (hi) dua maango.”

Surah Baqarah (2), ayat- 186.

۩ Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
الدعاء هي العبادة

'Dua ibadat hi hai.'

Sunan Abu Dawud, hadees- 1479, Iski sanad sahih hai. Jamia Tirmizi, kitab-ul- Dua, hadees- 3372. Imam Tirmizi ne ise hasan sahih karaar diya hai.

۩ Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

إذا سألت فاسأل وإذا استعنت فاستعن بالله

“Jab tum sawaal karo toh Allah se sawaal karo (yaani Allah se dua maango) aur jab madad maango toh Allah se madad maango.”

Jamia Tirmizi, hadees- 2516. Ise Imam Tirmizi ne hasan sahih karar diya hai.

۩ Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

“Tum me se har aadmi apne Rab se hi har haajat (dua) maange, hatta ke jute ka tasmah (strap) agar toot jaye toh woh bhi Allah se hi maange.”

Jamia Tirmizi, kitab ad daawaat (48), hadees- 3604. Is hadees ki sehat 'hasan' hai.

Sabit hua ki apni tamaam musibato, bimariyo, zaroorato aur hajat me sirf Allah se hi dua mangni chahiye.
_________

۞2. Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

Jo Muslim (musalman) dua karta hai, jis me gunah ya qata rahmi nahi hoti toh use teen cheeze di jaati hai:

۩ Ya toh uski dua jaldi qubool karli jati hai.
۩ Ya uski dua ko uske liye qayamat ka zakheera bana diya jata hai.
۩ Ya usse kisi musibat ko taal diya jata hai.

Al Adab al Mufrad, hadees- 710. Is hadees ko sahih karaar diya gaya hai.
_________

۞3. Allah taala ki hamd wa sana aur Nabi ﷺ par durood padhne ke baad maangi hui dua qubool hoti hai.

Dekhiye Jamia Tirmizi, hadees- 593. Is hadees ki sehat 'hasan' sahih hai.

_________

۞4. Dua me haath uthana yaani haath utha kar dua mangna bahut si sahih ahadees se sabit hai.

Maslan dekhiye Sahih al Bukhari, hadees- 4323, 4339, 6341. Sahih Muslim, hadees- 2498.

_________

۞5. Dua me chehre par haath ferna bilkul sahih hai.

Siqah Tabayeen Imam Abu Nayeem wahab bin kaisaan r.h. ne farmaya,

Maine (Sayyeduna) ibn Umar aur ibn Zubair r.a. ko dekha, woh dono dua karte, apni dono hatheliya (apne) chehre par ferte the.

Al Adab al Mufrad, hadees- 609. Is hadees ki sehat 'hasan' hai.

Is riwayat par baaz un naas ki jarah jamhoor ki tauseek ke khilaf hone ki wajah se mardood hai.

۩ Imam Mamar ibn rashid r.h. (154 a.h.) dua me seene tak haath uthate aur fir apne chehre par ferte the.

Musannaf ibn Abdur Razzaq, hadees- 5003,Is hadees ki sehat 'sahih' hai.

۩ Imam Ishaq bin Rahawaih in ahadees (jinme chehre par haath ferne ka zikr hai) par amal karna mustahsan (achha) samjhte the.

Mukhtasar qiyam-ul lail lil Marwazi, safa- 304.
_________

۞6. Raat ke aakhri hisse me dua qubool ki jati hai hai.

Dekhiye Sahih al Bukhari, hadees- 1145. Sahih Muslim, hadees- 758.

 Rasoolullahﷺ ne farmaya:

۩ 'Azaan aur iqamat ke dauraan me dua radd nahi hoti, lihaza dua mango.'

Sahih ibn Khuzaimah, hadees- 427, Iski sanad 'sahih' hai.

۩ Banda jab sajde me ho toh woh apne Rab ke bahut qareeb hota hai, lihaza sajde me kasrat se dua maange.

Sahih Muslim, hadees- 482.

۩ Jumah ke din khutbe se namaz ke ikhtitaam tak ke darmiyani waqt me dua qubool hoti hai.

Sahih Muslim, hadees- 853.

۩ Jumah ke din aakhri ghadi (yaani asar ke baad magrib tak) me dua qubool hoti hai.

Sahih al Bukhari, kitab ul Juma, hadees- 935. Jamia Tirmizi, hadees- 489. Iski sanad 'sahih' hai.

•٠•●●•٠•

source: Maqalaat - Tahkeeki, islaahi aur ilmi, vol-4, page- 567 | Shaykh Zubair ali zai r.h.
note: The article has been edited without changing the meaning and the reference may vary from the original work, for better presentation.

Post a Comment