۞ Buraida r.a. apne walid se riwayat karte hai ki Allah ke Rasool ﷺ ne farmaya,
'مَنْ لَعِبَ بِالنَّرْدَشِيرِ فَكَأَنَّمَا صَبَغَ يَدَهُ فِي لَحْمِ خِنْزِيرٍ وَدَمِهِ'
“Jis shaks ne 'Nardashir' kheli toh goya us ne apne hath ko khinzeer ke khoon aur gosht se rang liya.”
Sahih Muslim, book of poetry (41), hadees- 5896.
Ab is Nardashir ke lafz ko kuch tarjumaan ne english me dice tarjuma kar diya. Ab kyuki yaha dice alfaz maujud ho gaya toh baaz Ulema ne fatawa de diya ki ludo haraam ho gai, carrom board haraam ho gaya, shatranj haraam ho gayi.
Halaki agar ham Arabic dictionary 'Al Munzir' padhe toh usme iska meaning ye hai,
'Ye Faarsi baadshah ka khel tha, jiski bisaat khujur ke patto ke sath banayi jaati thi.'
Gaur karne ki baat ye hai ki chess ko arabi me shatranj kahte hai toh agar shatranj khelna galat hota toh hadees ke arabi me khud Shatranj alfaz likha hota. Lekin aesa nahi hai.
Jaha tak ludo ki baat hai toh ye toh abhi 100-150 saal pahle aaya tha. Aap ﷺ ke waqt ye khel maujud bhi nahi tha aur na hi kisi hadees me is ludo game ka zikr tak hai.
Aur Carrom board ko toh zabarzasti is hadees me ghaseet diya gaya. Dur dur tak isse aur upar waali hadees se koi lena-dena hi nahi hai.
Ek aur hadees pesh ki jaati hai,
۩ Ali r.a. kahte hai,
'Shatranj ajmiyo ka juwa hai.'
Shobul Eemaan, (Imam Baihaqi) hadees- 6018. Mishqaat ul Masabih, hadees- 4510.
Lekin ye riwayat munqate hai. Shaykh Zubair ali zai ne Mishqaat ul masabih me is riwayat ko zaif karaar diya hai. [scan]
Is riwayat ki kamzor hone ki wajah ye hai ki Imam Muhammad bin Ali bin Hussain al Bakir ne direct ye hadees Ali r.a. se riwayat ki hai aur Imam Bakir ki mulaqat Ali r.a. se sabit nahi hai.
Lihaza aesi koi sahih riwayat nahi hai jisme shatranj alfaz ka naam lekar ise haraam karaar diya ho.
Ek zaruri nukhta ye hai ki hame kisi cheez ko haraam kahne ke liye boht zyada gaur o fikr karna chahiye, har cheez ko haraam nahi kah dena chahiye kyuki Quran me kayi jagah badi sakhti ke sath is chiz se mana kiya gaya hai:
۩ Aye Nabi, Tum kyu us cheez ko haraam karte ho jo Allah ne tumhare liye halal ki hai? (kya is liye ke) tum apni biwiyo ki khushi chahte ho? Allah muaf karne wala aur raham farmane wala hai.
Surah Tahreem (66), ayat- 1.
۩ Aur yeh jo tumhari zubaane jhuthe ahkaam lagaya karti hai ke yeh cheez halal hai aur woh haraam, toh is tarah ke hukm laga kar Allah par jhoot na baandha karo..
Surah Nahl (16), ayat- 116.
Isi silsile me Rasoolullah ﷺ ki ek taleem hame milti hai:
۩ Abu Salaba r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,
“Beshak Allah ne faraiz ko wajib kiya hai toh use nazarandaaz mat karo. Usne hadd muqarrar ki hai toh usse aage mat badho. Usne kuch chizo ko muqaddas rakha hai, unse khilaaf warzi mat karo. (Aur) usne kuch chizo me khamoshi ikhtiyaar ki hai, tum par raham karne ke liye na ki bhool me, toh unhe talaash mat karo.”
Sunan Daraquṭni, hadees- 4316. Ise Imam ibn Qayyim ne I'lam al-Muqi'in'an (1/221) me sahih karaar diya hai.
Toh isliye ye jo hamari teen indoor games hai in par haraam ka fatawa lagana, ye mere nazdeek deen me gulu hai. Sirf zahiri alfaz ke upar fatawe nahi laga dene chahiye balki hame iske bunyad me jakar haqiqi cheez ko samajh kar raaye deni chahiye.
Sath hi sath ek paigam unlogo ke liye jo aankh aur aqal band kar ke apne ulema ki pairwi karte hai, aur inme wo log bhi shamil hai jo khud kisi zamane me 4 Imam ki taqleed se mana karte the aur aj khud apne ulema ki taqleed karte hai,
Aapke liye paigam ye hai ki:
'Kisi shaks ka ahtaraam apko yaha tak na le jaaye ki ap uski galti ko bhi defend karne lage aur kisi shaks par tanqeed apko yaha tak na le jaaye ki ap uska wajibi ahtaraam karna bhi chhor dein.'
۩ Anas bin Malik r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,
“(Deen me) Logo ke liye aasani karo aur sakhti na karo aur khush karo aur (deen se) nafrat mat dilao.”
Sahih al bukhari, kitab al adab ﴾78﴿, hadees- 6125.
Allah se dua hai ki wo hame deen ki fiqh (sahih samajh) ata kare. aameen.
Note: Ye khelne ke sath sath is baat ka khyaal bhi rakhe ki zarurat se zyada isme waqt na guzre aur na hi inke wajah se namaz ya dusri ibadat par koi asar pade, mard o aurat ka ikhtilat (mixing) na ho. Yaani sharai ahkaam ka khayaal rakha jaaye.
Aur Allah sab se behtar jaanta hai.
•٠•●●•٠•
Bhai,
Islamqa pr shaikh saleh ne jo ki arabi hain ne mana kiya hai aur huzur ne bhi us cheej se ijtenab krne ka hukm diya hai jo halal aur haram ke darmiyan hon yani clarity na ho aur isme jo lafz hai usko dice na len to kya len.isi tarah jaise beer mana nai hai pr nashwar cheej mana hai.
Baraye mehrbani krke rply kren aur kaunse alim aj ke isko jaiz ya najaiz kehte hain ue bhi btaiye aur aap alim hain ya aap khelte hain?
@Tausiqu:
Pahli baat: Quran aur sunnat me ye kahi bhi nahi likha hai ki agar koi Arabi ho toh usse galti nahi ho sakti hai. Allah aur uske Rasool ke alawa kisi bhi shaks se ikhtilaf kiya ja sakta hai daleel ke roshni me. Aur kisi alim ki baat ko harf e akhir manna hi taqleed hai jo ki haraam hai surah Nisa, ayat- 59 ke mutabik.
Dusri baat: Hamare Deen me Kisi insan ke tarjume ki galti ke wajah se koi cheez haraam ya halal nahi hoti, haraam ya halaal ka faisla karne ka haq sirf Allah aur uske Rasool ko hai. Plus
Mere tahkeek ke nazdeek ye masla clear hai, koi doubt nahi hai.
Teesri baat: Aapka sawaal ki agar isme dice word na le toh kya le. Isme wahi lafz le jo likha hua hai, yaani 'Nardashir'.
Beer waala apka logic us jagah kaam ata jab Rasoolullah ne har game jisme dice ka istemal hota hai usse mana farmaya ho, lekin aesi koi ahadees nahi hai.
Chauthi baat: Kaun se alim mana karte hai ya nahi, ye ap khud thoda mehnat kar ke pata kar lein, aur mere khelne ya na khelne se Deen me koi cheez haraam ya halaal nahi hoti.
Wa Allahu alam.
(Your counter question will not be published here, kindly post it on 'Ask a Question page')
Post a Comment