اقرأ باسم ربك الذي خلق

8 Apr 2019

Nabi ﷺ ka Akhlaq | Khadija r.a. ki Zubani


Allah s.w.t. farmate hai,

“Aur beshak, Aap (ﷺ) akhlaq ke buland darje par fa'iz hai.”

Surah Qalam (68), ayat- 4.

۝ Hazrat Ayesha r.a. ne bataya Aap ﷺ par wahee ki ibtedaai daur acche sachhe paakiza khawabo se shuru hua, Aap khawab me jo kuch dekhte woh subha ki roshni ki tarah sahih aur sachha sabit hota. Fir min janib qudrat Aap tanhaai pasand ho gaye aur Aap ne Gaar e Hira me Tanhaai ikhtiyar farmate aur kayi kayi din aur raat wahaa musalsal Ibadat aur yaad e Elahi zikr o fikr mai mashgul rahte, jab tak ghar aane ko dil na chahta, Aap apne saath safar ka khana liye hue waha rahte, Khana khatam hone par hi ahliya Khadija r.a. anha ke paas tashreef laate aur kuch khana saath lekar fir waha jaate.

Yahi tariqa jari raha yaha tak ki Aap par Haq nazil ho gaya aur Aap Gaar e Hira hi me the ki achank Hazrat Jibreel a.s. Aap ke paas haazir hue aur kahne lage ki Aye Muhammad! Padho!

Aap farmate hai ki maine kahaa ki mai padhna nahi jaanta. Aap farmate hai ki farishte ne mujhe pakad kar itne zor se dabaya ki meri taqat jawab de gai. Fir mujhe chhod kar kaha ki Padho!. Maine fir wahi jawab diya ki mai padha hua nahi hu. Us Farishte ne mujhe nihayat hi zor se pakda ki mujhe sakht takleef mahsus hui, Fir usne kahaa ki padho! Maine kaha ki mai padha hua nahi hu. Farishte ne teesri baar mujh ko pakda aur teesri martaba fir mujh ko dabaya fir mujhe chhod diya aur kahne laga ki

‘Padho Apne Rab Ke Naam Se Jis Ne Paida Kiya Aur Insan Ko Khoon Ki Lothde Se, Padho Aur Aap Ka Rab Bahut Hi Maherban Hai.’

Pas yahi aayate Aap Jibril a.s. se sun kar is haal mai Gaar se wapis hue ke Aap ka dil us anokhe waqye se zor se dhadak raha tha. Aap Khadija ke yaha tashrif laye aur farmaya ki mujhe kambal udha do, mujhe kambal udhaa do. Logo ne Aap ko kambal udhaa diya jab Aap ka dar jaata raha to Aap ne apni biwi Khadija r.a. ko tafseel ke saath ye waqya sunaya aur farmane lage ki mujh ko ab apni jaan ka khauf ho gaya hai.

Aapki biwi Khadija r.a. ne Aap se kaha ki Aap ka khayal sahih nahi hai, Khuda ki qasam Aap ko Allah kabhi ruswa nahi karega.
Aap rishtedaro se sila-rahmi karte hai, Bekaso ka bojh uthate hai, Mufliso (gareebo) ki madad karte hai, Aap dil khol kar mahmaan nawazi karte hai aur mushkil ke waqt me Aap zaruratmando ka saath dete hai.
Sahih al bukhari, kitab al wahee (1), hadees- 3.

•٠•●●•٠•