۩ Ammi Ayesha r.a. farmati hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,
'Beshak Allah tala narmi karta hai aur narmi ko pasand karta hai Aur narmi pe wo sawab deta hai jo sakhti pe nahi deta, aur wo is tarha kisi aur cheez par ata nahi karta.'
Sahih Muslim, kitab al birr was silati wal adab ﴾45﴿ hadees- 6601.
۩ Ammi Ayesha r.a. farmati hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,
'Jis cheez me narmi ho toh wo use khubsurat bana deti hai aur jis cheez se bhi narmi nikaal di jaati hai use badsurat kar deti hai.'
Sahih Muslim, kitab al birr was silati wal adab ﴾45﴿ hadees- 6602.
۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki ek aarabi (dehati) khada ho kar masjid me peshab karne laga. Toh log us par jhapatne lage. (Ye dekh kar) Rasoolullah ﷺ ne logo se farmaya ke use chhor do aur us ke peshab par paani ka bhara hua dol ya kuch kam bhara hua dol baha do, kyuki tum narmi ke liye bheje gaye ho, sakhti ke liye nahi.
Sahih al Bukhari, kitab al wuzu (4), hadees- 220.
۩ Anas r.a. riwayat karte hai,
'Maine das saal tak Rasool ﷺ ki khidmat ki. Unhone mujhe kabhi 'uff' tak nahi kaha aur unhone mujhe kabhi kisi chiz par nahi toka ki tumne ye kyu nahi kiya, jo kaam maine nahi kiye ya fir us chiz ke bareme ye nahi kaha ki tumne ye kyu kiya, jo kaam maine kiye the.'
Al Adab al Mufrad, hadees- 277. (Sahih)
۩ Ammi Ayesha r.a. farmati hai ki jab bhi RasoolAllah ﷺ ko kisi do chizo me ikhtiyar (choice) diya jaata tha wo un dono maise hamesha aasan chiz ko chunte the, jab tak ke usme koi gunah shamil na ho lekin agar usme gunah hota toh wo logo me us chiz se sabse zyada duri ikhtiyar karte the.
Sahih al Bukhari, kitab al adab ﴾78﴿, hadees- 6126. Sahih Muslim, kitab al fazail ﴾43﴿, hadees- 6048.
۩ Abu Hurairah r.a. se riwayat hai, Nabi ﷺ ne farmaya,
“Beshak Deen aasaan hai, aur jo shakhs deen me sakhti karega toh deen us par ghalib ajaayga. Toh shiddat pasand (extremist) mat bano lekin koshish karo ki takmeel (excellence) ke kareeb raho aur khush raho aur subha aur dopaher aur raat ke aakhri hisse me ibadat karke (Allah se) se madad haasil karo.”
Sahih al Bukhari, kitab al eemaan ﴾2﴿, hadees- 39.
۩ Abu Masud r.a. riwayat karte hai ke ek shaks ne kaha ke Aye Allah ke Rasool qasam Allah ki mai subah ki namaz me falan ki wajah se der me jata hu, kyunki woh namaz ko bahut lamba kar dete hai, raawi e hadees kahte hai ki maine RasoolAllah ﷺ ko naseehat ke waqt us din se zyada (kabhi bhi) itne gusse me nahi dekha. Aap ﷺ ne farmaya ke tum me se kuch log yeh chahte hai ke (aawam ko ibadat se ya deen se) nafrat dila de. Khabardaar tum me logo ko jo shakhs bhi namaz padhaye to choti padhaye kyunki namazio me kamzor, budhe aur zarurat wala sab hi qisam ke log hote hai.
Sahih al Bukhari, kitab al aazaan ﴾10﴿, hadees- 702.
۩ Abdullah bin Abi Qatada riwayat karte hai ki mere walid ne kaha ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,
'Mai namaz der tak padhne ke iradah se khada hota hu, lekin kisi bachhe ke rone ki aawaz sun kar namaz ko halki (shorter) kar deta hu, kyuki uski maa ko (jo namaz me shareek hogi) taqleef me daalna bura samajhta hu.'
Sahih al Bukhari, kitab al aazaan (10), hadees- 707.
۩ Muawiyah bin al-Hakam r.a. kahte hai,
Mai Rasoolullah ﷺ ke sath namaz padh raha tha ke logo me se ek aadmi ko cheenk aayi toh maine kaha, '(يرحمك الله) Allah tujh par raham kare.' Logo ne mujhe ghoorna shuru kar diya. Mai ne (dil me) kaha, 'Meri maa mujhe gum paaye (arabi muhawra), tum sab ko kya ho gaya hai ke mujhe ghoor rahe ho'. Fir wo apne hath apne raano par maarne lage. Jab mai ne unhe dekha ki wo mujhe chup kara rahe hai (toh mujhe ajeeb laga) lekin mai khamosh raha.
Jab Rasoolullah namaz se farig ho gaye, mere maa baap Aap par qurban! Mai ne Aap se pahle aur Aap ke baad, Aap se behtar koi sikhane waala nahi dekha. Allah ki qasam! na toh aap ne mujhe daanta, na mujhe maara aur na mujhe bura bhala kaha.
Aap ne farmaya, 'Ye namaz hai, isme kisi kism ki guftugu nahi karni chahiye, ye toh bas tasbeeh wo taqbeer aur Quran ki tilawat hai.'
Sahih Muslim, kitab al masaajid wa mawazihis salaat (5), hadees- 1199.
•٠•●●•٠•
Post a Comment