Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

9 May 2020

Biddati Imam ke Piche Namaz Padhna | Imam Shafi aur Imam Baghawi

en   -
۩ Imam al-Baghawi r.h. kahte hai,

'Imam Shafi, biddatio ki gawaahi qubul karne aur unke piche namaz padhne ki ijazat dete the, bina kisi shart ke agarche wo is baat ko napasand samajhte the.

Unki ye raaye is baat ki taraf nishandehi karti hai ki agar wo kisi mauke par un me se kuch logo ko kafir karaar dete hai, toh isse muraad kam darje ka kufr hai, jaise ki Allah s.w.t. is ayat me farmate hai,

“Jo log Allah ke nazil karda kanoon ke mutabiq faisla na kare wahi kafir hai.”

Surah Maidah (5), ayat- 44.'

Sharh as-Sunnah (1/228)

[source: islamqa.info]

Allah se dua hai ki wo hame deen ki sahih samajh ata kare. aameen.

•٠•●●•٠•

Is mauzu ko detail se padhe: Biddati Imam ke piche Namaz padhna | Salaf ke fahm ke mutabik
Israr Hussain said...

Post ka Mauzu he "Biddati Imam ke Piche Namaz Padhna" Lekin in Aqwaal se Har bid'ati ke Piche Namaz ka Jawaz Sabi nahi isme Tafseel he Bi'ate Mukaffira Or Ghair Mukaffira ki Bid'ate Mukaffirah ke Murtakib ke Piche Namaz Jayaz nahi he Jabki Bi'date Ghir Mukaffirah ke Murtakib ke Peeche Namaz padhne ka sirf Jawaz he Usme bhi Karahat he. Ya'aani Yeh Amal Mandoob ya Mustahab Nahi Balki Makrooh he.
Jaisa ke is Qaul me hi Farmaya gaya he: "مع الكراهية" Karahat ke Saath.
Lihaza Kisi Post se Ulma ke Qaul ka Tukda Utha kar is Tarah Ahkaam Akhaz karna Sahih nahi

Faisal Khan said...

@Israr Hussain:

Pahli baat Post ka mauzu biddati imam ke piche namaz padhna nahi hai balki Imam Shafi aur Imam Baghawi r.h. ke nazdeek Biddati Imam ke piche namaz padhne ka kya hukm hai.
Biddati Imam ke piche namaz padhne wala article dusra h, uska link ye hai: https://www.iqrakitab.com/2018/01/biddati-imam-ke-piche-namaz-padhne-ka-hukm.html

Dusri Baat Aap ne apni baat ke liye daleel nahi pesh ki. Daleel se sabit karein ki kaun si hadith ya sahaba ya salaf ka ye aam nazarya tha ki apke takseem ke mutabik wale biddati imam ke piche namaz padhna jayz nahi hai. Wa Allahu alam.

Post a Comment