Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

24 May 2020

Lockdown Me Namaz e Eid Me Jamaat ka Masla


Alhamdulillah..

Eid ki namaz ghar me akele bhi padhi ja sakti hai aur Jamaat se bhi. Is article me Jamaat ke sath eid ki namaz padhne ke ahkaam hai.

1. Agar Eid ki Namaz sirf do Aadmi ghar me ada kar rahe hai toh Jamat me dono ek sath khade rahenge ek hi saff (line) me. Imam baaye taraf (left side) khada hoga.

2. Agar Aurte bhi hai saath yaani agar teen (3) log hai toh ek Aadmi aage Imamat karega aur piche dusra aadmi fir uske piche aurte.

3. Agar puri family hai ghar me (biwi-bachhe mila kar) toh fir ek Aadmi Imamat karega uske piche baaki mard hazraat chahe ek hi kyu na ho aur fir unke piche aurte.

4. Agar sirf miya aur biwi ho Eid ki namaz ke liye toh mard aage aur aurat piche ho kar Namaz ada ki jayegi.

5. Agar sirf ek Aadmi ho toh wo waise hi ada karega zayid takbeero ke sath.

Aksar ahle ilm ka kahna hai ki agar ghar me eid ki namaz ada ki jaa rahi hai toh isme khutba nahi hoga.

۞ Notes

1. Eid ki namaz ki tayari bilkul waisi hi hogi jaisi aam haalaat me hoti hai. Ghusl ke baad hame achhe saaf suthre kapde pahenne hai. Hame ek ya teen khajure kha kar musalle par namaz ada karne ke liye aana hai.

Nabi ﷺ taak adad ke Khajur kha kar Eid ki Namaz ada karne jaate the. [Sahih al bukhari, 953]

2. Jise ghar me sabse zyada Quran aata ho wo Imamat karega. (mazeed detail ke liye ye article check kare).

3. Suraj tulu hone ke ek neza (spear) upar ho jaane se lekar Zawaal tak [yaani zohar se pahle jab aasmaan me suraj barabar ho] ka Namaz ka waqt hota hai usi bich Aap Eid ki Namaz ghar me ada karenge.

Aasan alfaz me kaha jaaye toh Suraj tulu hone ke 20 minute ke baad se lekar zohar se thodi der pahle tak.

Aur Allah sab se behtar janta hai.

Prepared by: A. Sayed

•٠•●●•٠•

Related

Post a Comment