اقرأ باسم ربك الذي خلق

15 May 2020

Shab e Qadr ki Nishaniya

pic   -
Allah s.w.t. Quran e majeed me farmate hai:

Humne is (Quran) ko shab e qadr me nazil kiya hai. Aur tum kya jano ke shab e qadr kya hai. Shab e qadr hazar maheeno se zyada behtar hai. Farishte aur rooh (Jibrael) us me apne Rabb ke izn se har hukm le kar utarte hai. Woh raat sarasar salamati hai tulu e fajr tak.

Surah Qadr (97), ayat 1-5.

Shab e Qadr ek azeem raat hoti hai jiski fazilat upar bayan ki gai hai. Allah ke taraf se ham ko yahi hukm mila hai ki is raat ibadat kare aur uski magfirat talab kare. Ye Ramzan ke aakhri 10 din ki taak raato me hota hai.

۩ Ayesha r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Ramzaan ki aankhri ashre ki Taak raato (21, 23, 25, 27, 29) me Lailatul Qadr talash karo.'

Sahih al bukhari, kitab faizal al lailatul qadr (32), hadees- 2017.

۞ Allah ke Rasool ne hame shab e qadr ki nishaniya batayi hai aur wo ye hai:

۩1. Jis raat lailatul Qadr hogi us ke agle din suraj bina kiran (rays) ke niklega.

[Sahih Muslim, 1785]

۩2. Jis raat lailatul Qadr hogi us raat ko chand ek plate ke piece ke tarha niklega.

[Sahih Muslim, 2779]

۩3. Lailatul Qadr ki raat ko na zyada garmi hogi aur na zyada thandi hogi lekin wo sakhawat ki raat hogi aur agle subah suraj kamzor aur laal rang ka niklega.

[Ibn Khuzaima, 2192 | Sahih]

۩4. Laitalul Qadr wale din ko ya Raat ko barish ho sakti hai.

[Sahih al Bukhari, 813]

•٠•●●•٠•

Related: Haiza aurto ki Lailatul Qadr me ibadat