Kuch bhai jo bina tahkeek kiye aur aankh band kar ke ulema ki baat maan lete hai wo ek qawl pesh karte hai,
۩ Ibn Sireen kahte hai,
إِنَّ هَذَا الْعِلْمَ دِينٌ فَانْظُرُوا عَمَّنْ تَأْخُذُونَ دِينَكُمْ
'Beshak ye Ilm Deen hai toh ap ye dekho ki ap apna Deen kisse le rahe ho.'
Muqaddamah Sahih Muslim, hadees- 26.
Ab bina is hadees ke aage piche dekhe, bina iska pasmanzar samjhe wo is qawl se Deen ka ek usool bana lete hai ki sirf Apne firqe ke ulema ko sunna chahiye aur sirf unhi se deen ka koi bhi ilm lena chahiye..
Haalanki agar is usool ko maan liya jaaye toh ek shia zindagi bhar shia hi rahe aur ek barelwi zindagi bhar barelwi hi rahe kyuki is usool ke mutabik toh dusre ulema ki na toh baat sunni chahiye aur na hi ilm lena chahiye. Kyuki jab ek galat aqeedah wala shaks apne ulema ko chor kar dusre ko sunta hai tab hi use pata chalta hai ki kis ki baat behtar hai, agar ye usool maan liya jaye fir kyu kar koi apne firqe ke alawa dusre logo ki baat sune.
Ab aaiye Ibn Sireen r.h. ke is qawl ki haqiqat jaante hai,
Ibn Sireen r.h. ka ye qawl Sahih Muslim ke Muqaddamah se hai ki unhone kaha ki, 'Ye ilm Deen hai toh ap ye dekho ki aap apna Deen kisse le rahe ho.'
Pahli baat ye hai ki Ibn Sireen r.h. ka ye qawl aam ilm ke bareme nahi hai balki isnaad yaani usool e hadees ke ilm ke baare me hai.
Imam Muslim ne is hadees par ye baab baandha hai "باب فِي أَنَّ الإِسْنَادَ مِنَ الدِّينِ" yaani "Isnaad Deen me se hai."
Aur baab me aage ye likha hua hai,
'Isnaad Deen me se hai, aur isnaad ko qubul nahi kiya jaata hai jab tak ke wo siqah (trustworthy) raawi na ho.'
To isse baat wazeh hui ki yaha par Ibn Sireen r.h. isnaad ki ilm ki baat kar rahe hai na ki aam ilm e deen ki. Aur ye dono ilm me bahot farq hai. Usool e hadees ka ilm ek alag ilm ki speciality hai. Aur isme itni zyada sakhti karni bahot zaruri hai kyuki aam ilm toh kitab o sunnat se pata chal jata hai ki kitna sach hai lekin is field me sab kuch ek raawi par depend hota hai, jo bhi raawi Rasoolullah ﷺ ke taraf nisbat kar ke bolega wo Ummat ka Deen ban jayega. Jab ki aam ilm to kitab o sunnat me dekhne ke baad asani se pata chal jaata hai ki kahne wala shaks sach kah raha hai ya jhut.
Misaal ke taur par isi Sahih Muslim ke Muqaddamah ki hadees no. 30 me likha hai,
Ibn Abi Zinad apne walid se riwayat karte hai ki maine Madinah me aese 100 aadmiyo ko paaya hai jo nek sirat the magar unhe hadees riwayat karne ka ahal nahi samjha jata tha, aur unki hadees qubul nahi ki jati thi, kaha jata tha ki ye is (ilm) ke ahal nahi hai.
Sahih Muslim ka Muqaddamah, hadees- 30.
Ye isliye kyuki in logo ko usool e hadees ka ilm nahi tha, yaani koi bhi akar hadees ke naam par inhe kuch suna de to wo ise hadees samajh kar aage bayan kar denge. Toh isi liye usool e hadees ke ilm par aam deeni ilm ka qiyas nahi kiya ja sakta warna fir upar ki hadees ke mutabik toh jo shaks ilm e hadees ya ilm e isnaad se waqif na ho usse ilm lena haraam ho jayega unke usool ke nazdeek.
Dusri baat hamare Deen ne hame ye sikhaya hai ki jab ap kisi se ilm lete ho to uska rang, nasal, zuban, mazhab, zaat, firqa nahi balki uski daleel dekho. Dekho kya wo apni baat ke daleel me Quran ya sahih hadith pesh kar raha hai ya nahi. Rasoolullah ﷺ ne khud farmaya hai ki jab tak Allah ki kitab aur meri sunnat ko mazbuti se pakde rahoge tab tak gumrah nahi hoge. [Mustadrak al Hakim, hadees - 318, sahih].
Allah se dua hai ki wo hame deen par gaur o fikr karne waala talib e ilm banaye aur hame ulema ki taqleed se mahfooz rakhe. aameen.
•٠•●●•٠•
Post a Comment