Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

23 Apr 2021

Apni Biwi Ko Kisi Aur Ka Mohtaj Na Banaye


Apni biwi ko kisi aur ka mohtaj na banaye. Har Mahine biwi ko zaati kharch lazmi diya karein.

Hamare Muashre ke aksar gharo me ye muamla paaya jata hai ke agar biwi shauhar se jeb-kharch (pocket money) ke waaste kuch paiso ka mutalba kare to samne se jawab milta hai ke, 'Tum kya karogi paiso ka?
Har chiz tumhe mil toh jati hai,
Sab kuch laakar to deta hun,
Jo mangwana ho batado, mai ladunga,
Fuzul paise nahi hai mere pass..'

Matlab duniya bhar ki taqreere shuru kar denge magar majaal hai kuch paise nikaal kar biwi ke haath me rakh de ke shayd use kuch zarurt ho.

Phir wo bechari majboor ho kar apne maa baap ke samne hath phailati hai, kabhi bahno se sawal karti hai to kabhi dosto se udhar mangti hai. Wallahi ye baat samjh se bahar hai ke Shauhar hazraat ye baat kaise gawara karlete hai ke meri biwi mere hote hue dusro se paise mangti phire.

Zahir si baat hai ke wo bhi insan hai, uski bhi zaruriyaat hai, ba hasiyat Insan uska bhi kahee kuch kharch karne ka dil karta hai, Apni pasand se koi chiz khareedne ka dil karta hoga, Apne Waledain, bahen bhai ya saheli wagaira ko kuch dene ka dil karta hoga, Sadqah khairaat karne ka dil karta hoga, kisi gareeb ki madad karne ka dil karta hoga, Is baat ka bhi dil karta hoga ke kuch paise mere pass har waqt maujud rahe jo kabhi bhi kisi majburi me kaam aajaye.

Wo Apke liye apna ghar baar, Maa baap, Bhai bahen sab chhod kar aayi hai, Usne apne apko aur apni zindagi ko aapke hawale kar diya, Ab wo khud kamane toh kahee jaati nahi lehaza uski har zururiyaat aapke zimme hai.

Ham bahar dosto ke sath, restaurants me aur aisi kayi fuzuliyat par hazaro rupaye uda dete hai aur jab biwi kuch paise maang le to tarha tarha ki baatein sunaane lag jate hai.

Yaad rakhiye biwi se jeb kharch ka hisab mangne se bad-aetemadi paida hoti hai. Biwi ke sath sakhawat ka muzahera karein, Bakhil (kanjoos) na bane.

۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki Rasoolulllah ﷺ ne farmaya,

'Agar Ek Deenar tum Allah ki rah me kharch karo, ek deenar Gulam aazad karne ke liye kharch karo, ek deenar Miskeen ko sadqah do aur ek Deenar Ahl o ayaal (family) par kharch karo toh afzaliyat ke aetebar se sabse afzal Deenar Ahl o ayaal par kharch kiya gaya hoga.'

Sahih Muslim, kitab al zakat (12), hadees no- 2311.

۩ Sad bin abi Waqqas r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Beshak tumhe har us cheez ka ajar milega jo tum Allah ke liye kharch karo, yaha tak ke us par bhi jo (niwala) tum apni biwi ke muh me daalo.'

Sahih al Bukhari, kitab al eemaan (2), hadees 56.

۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Sabse kamil Momin wo hai jiske akhlaq sabse behtar ho aur tum me sabse behtar wo hai jo apni biwiyo ke liye behtar ho.'

Jamia Tirmizi, kitab al riza (12), hadees 1162 | Ise Darussalaam ne hasan karaar diya hai.

Allah swt amal ki taufeeq ata farmaye. Ameen Ya Rabbul Aalameen.

JazakAllah khair.

Prepared by: A. Sayed.

•٠•●●•٠•

Related: Khwateen ke hukook

Post a Comment