اقرأ باسم ربك الذي خلق

10 Sept 2021

Kab Hame Bahes ko Aage Nahi Badhana Hai - Wa izaa khaata bahumul jaahiloona qaaloo salaamaa

hi   

۩ Allah pak Quran me farmate hai

وَعِبَادُ الرَّحْمَـٰنِ الَّذِينَ يَمْشُونَ عَلَى الْأَرْضِ هَوْنًا وَإِذَا خَاطَبَهُمُ الْجَاهِلُونَ قَالُوا سَلَامًا-

Rahman ke bande woh hai jo zameen par narm chaal chalte hai aur jab jaahil unke mooh lagne lagte hai to kah dete hai ke salaam hai.

Surah Furqan (25), ayat- 63.

Jab ap kisi ke sath guftgu karte hai, toh guftgu hamesha ilmi tarike se karni chahiye, istedlal ke sath karni chahiye.

Apko bhi chahiye ki ap daleel de, mohazzab tarike se apni baat dusre ke saamne rakhe, dusre par koi cheez thoosne ki koshish na kare, apni baat kahein, dusre ki baat sunein.

Jab tak ye muqalma ho raha hai aur ap ilm aur istedlal ke sath baat kar rahe hai, koi jahalat ka sawal nahi hai.

Lekin jis waqt koi aadmee apne muh me kaff bharne lag jaata hai, aasteen chadha leta hai, daleel ko ek taraf fenk deta hai, aap par wo shabb o sitam karna shuru kar deta hai ya aesa rawayya ikhtiyar kar leta hai jisme sirf jazbaat hi jazbaat hote hai, yaani ab aap aqali tabaadla e khyalaat kar hi nahi sakte uske sath, toh ye mauka hota hai jisko arabi zuban me jahalat kaha jaata hai, jahalat jo hamari urdu zuban me hai uska matlab hota hai nawaqfiyat.

Arabic zuban me jahalat ke aur maane me istemal hota hai wo ye hai ki, aadmi jazbaat se magroob ho gaya, usne ilm o aqal ko ek taraf rakh diya, ab usse agar ap koi baat karte hai toh siwaye iske ke jawab me apko shab o sitam milega, apko tanz o tahkeer se saabta pesh ayega, koi guftugu nahi ho sakegi, koi muqalma nahi ho sakega, mohazzab tarike se ap baith bhi nahi sakenge, ek dusre ki baat sunne ke liye bhi tayar nahi honge, hogi to ilzam tarashi hogi, toh ye surat jis waqt paida ho jaaye toh us waqt hme ye Allah taala ne hidayat ki hai ki fir ap shaistagi ke sath ruksat ho jaaye, ya qaalu salama jo hai, iski arabic zuban me ye tabeer hai ki shaistgi se fir ap ijazat le lein.

Yaani us mauke ke upar ap fir aesa na kare ki doosra agar jazbaat se magroob ho gaya hai to aap bhi ho jaaye, dusre ne agar taan o tashni shuru kar di hai to ap bhi wahi kare, dusre ne agar eent maari hai toh ap pathhar le kar use maarne lage.

Ye tarika ikhtiyar karne ki hamko hidayat ki gai hai ki ye kisi haal me bhi nahi karna aapko.

Chunanche, ye bataya gaya hai ki jab bhi ap Khuda ki baat logo ko batana chahte hai to khubsurat naseehat ke sath, hikmat ke sath, daanayi ke sath, istedalal ke sath, daleel de, daleel sune, daleel ki bunyad par baat kare, apka rawayya ek mohazzab shaista insan ka hona chahiye.  Dusre ki izzat ki hifazat karte hue apni baat pesh karein, hikmat ke sath, naseehat karni hai, khubsurat naseehat aur fir farmaya gaya wa jaadilhum billatee hiya ahsan agar bahes ki bhi naubat aa jaye to wo bahes itna shaishta hona chaiye ki khushgawar mahol me aap baat kar rahe hai, ap dalail de rahe hai, dusra apki daleel ki galti ap par wazeh kar raha hai, ye tarika dusro se bhi apko tawakko karni chahiye ki wo ikhtiyar kare, apko bhi yahi ikhtiyar karna chahiye, isse aap hatenge to jahalat, dusra hatega to jahalat, aur ham social media par dekh hi rahe hai ki log kis zuban aur andaz me ekdusre se bahes karte hai, ki nazar hi nahi aata ki do Musalman apas me guftugu kar rahe hai.

Jahalat to wo cheez hai ki jis tarha se aaftab nazar aa jata hai, wo nazar aa jati hai.

Ilm o istedlal ke sath guftgu karne waala shaks kabhi apni awaz unchi nahi karega, kabhi ap par taan o tashnee nahi karega, kabhi ap ki niyat par hamla nahi karega, wo apni baat kahega, saadgi ke sath daleel dega, apki baat sunega, achhi baat hai to qubul kar lega, baat samajh nahi aayi to shaistgi se aeraaz kar lega. Toh ye sahih rawayya hai jise har shaks ko ikhtiyar karna chahiye. Allah pak farmate hai,

۩ Logo ko apne Rab ke raaste ki taraf hikmat aur khubsurat nasihat ke sath bulaiye aur unse behtareen tareeqe se bahes (guftagu) karye.

Surah nahl, ayat-125.

•٠•●●•٠•

Related category:

۩ https://www.iqrakitab.com/search/label/Islah