اقرأ باسم ربك الذي خلق

13 Oct 2024

Kya Ham Janabat Ke Haalat Me Quran Sun Sakte Hai ?

 Alhamdulillah..

Janabat ki haalat ek shaks ko Qur'an sunne se nahi rokti hai, kyuki shariat me iski daleel maujud nahi hai ki jo shaks janabat ki halat me ho use Qur'an nahi sunna chahiye.

Shaykh ibn Baaz se pucha gaya,

'Kya jo shaks janabat (impurity following sexual discharge) ki halat me ho, apne zahen se Allah ki kitab se padh sakta hai? Aur agar ye mumkin na ho to kya wo sun sakta hai?'

Unhone farmaya,

'Jo shaks janabat ki haalat me hai, usko ye ijazat nahi hai ki wo ya toh Mushaf se kuch padhe ya apne zahen se, jab tak ke wo ghusl na kar le, kyuki ye Rasoolullah ﷺ se sabit hai ki koi bhi cheez Aap ﷺ ko Quran (padhne) se nahi rokti thi siwaye janabat ke.

Quran ki tilawat sunne ke hawale se ye ahkaam hai ke isme koi harj nahi hai kyuki ye boht mufeed hai, bina mus'haf ko chuye ya is me se padhne ke.'

Majmu Fatawa Ibn Baz, 10/152.

•٠•●●•٠•