Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

30 Jan 2025

Hawa Nikalne ka Shak

Hawa Nikalne ka Shak

 Sawal 

Baraye maherbani mujhe dauran-e-wuzu ya baad me hawa kharij hone ke bare me ahadees ke mutabik maloomat faraham karein, aur is soch ke mutabik bhi maloomat faraham karein ke agar insan ke maida me koi harkat mahsoos ho ya hawa kharij hone ki awaaz sune to is ke liye wuzu karna zaroori hai?

 Jawab 

Alhamdulillah.

Jab insan ko hawa kharij hone ka yaqeen ho to us se wuzu karna wajib hai, lekin agar sirf pet me harkat ya hawa kharij hone ka waham ho to is ki taraf tawajjo nahi di jayegi. Pet me sirf harkat ya hawa kharij hone ka waham hone se wuzu na tootne ki daleel Sahih Bukhari aur Sahih Muslim ki darj zail hadees hai:

۩ Abdullah bin Zaid riwayat karte hai ke unhone Rasool ﷺ se shikayat ki ke ek shakhs hai jise ye khayal hota hai ke namaz me koi cheez (yaani hawa nikalti) maloom hui hai. Aap ﷺ ne farmaya ke (namaz se) na phire ya na mude, jab tak awaaz na sune ya badbu na paye.

Sahih al Bukhari, hadees- 137 | Sahih Muslim, hadees- 804.

۩ Imam Nawawi r.h. is hadees ki sharah me farmate hai:

"Ye hadees is baat ki daleel hai ke cheeze apni asal par barqarar rahti hai jab tak ke is asal ke khilaf koi daleel na mil jaye, aur is par paida hone wala shak kisi nuqsan ka sabab nahi banta."

۩ Aur Ibn Hajar r.h. farmate hai:

"Jamhoor Ulama e karaam ne is hadees par amal kiya hai."

In shuqooq aur shubhaat ki taraf tawajjo dene se waswasa paida hota hai, is liye is ki taraf tawajjo nahi karni chahiye. Sirf hawa kharij hone ka yaqeen hone ki surat me hi wuzu karna wajib hoga.

۩ Imam Nawawi r.h. farmate hai:

"Rasoolullah ﷺ ka irshad hai: 'Hatta ke wo awaaz sune ya phir badbu mahsoos kare.'

Iska matlab ye hai ke in dono cheezo me se kisi ek ka wajood maloom ho jaye. Musalmanon ke ijma ke mutabik sunna aur soonghna shart nahi. Yahaan ilm se murad yaqeen karna hai."

Wallahu A‘lam.

•٠•●●•٠•

Post a Comment